30th May 2006, 06:20 AM
Diggaj miyaaN
namaste
aarzoo kya hai ye to sochne bhar se dam nikal jaata hai saahab, tam'aam umr ke iNtezaar ka silaa sirf itna maaNga hai ke jin mehNdi lage haaThoN ki inaayat jeete jee naseeb nahiiN huii vohi kam-az-kam waqt-e-rukhsat ataa ho jaaye to aisa to na lagega ke ziNdagi bhi bekaar gayi aur maut bhi
aarzoo bohat badi cheez hai bhai, ho tab bhi aur na ho tab bhi....!!
aapne hamesha ki tarah Ghazal pasaNd farmaayi aur hamesha ki tarah mujh na'ehl ka hausla bhi badhaaya dil se shukurguzaar huuN aapka
milte raha kijiye, achcha lagta hai
shukriya
khair aNdesh
maikash
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
|