View Single Post
Old
  (#30)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
19th January 2013, 12:15 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
bhai, koi aur poochata to samjh aata...aap pooch rahe ho yaar?
itna saaf to hai....manaana-divaane-puraane , bold me kaha to hai.

2122 1122 22-faa i laa tun / fa i laa tun / fou lun

aap use 'bina' ke 'bi' ki tarah 'di' kahiye 'veena' ke 'vee' ki tarah nahi.

( for beginners kindly note that -' faa i laa tun/ faa i laatun ' se meter baya karo ya 2122 2122 se
BAAT EK HI HAI.... THERE IS NOT AN IOTA OF DIFFERENCE IN THE TWO.

digit me meter samajne aur baya karne me koi demerit nahi hai....on the contrary it is less prone to typo errors. waise bhi aaj ke naujawaan digit ki zabaan jyada behtar aur turunt samjhte hai.
mai sirf meter bayaa karne ki limited baat kar raha hu.

Aadaab zidd saab...

ummeed karta hoon kahiriyat se honge... aapka reply dekh kar accha lagaa... lagaa ke koi patthar ki lakeer ki tarah hi baten nahi kartaa... kuch cheezen tabdeel bhi ki jaa saktii hain... jaise ke maana ke asal lafz dee2wa2naX hai, magar use shaayar kabhi kabhi di1waa2na2 ki tarah bhi istemaal kar saktaa hai use poori choot hai is baat ki...

aapne sonu nigaam ka bhi ek gaana suna hogaa...

Diwaana teraa.... tujhe hi bulaa.... etc..

khair iske alawa maine ye bhi kehna chahunga ke lafz "Baadal" ke bhi kai form ho sakte hain, jaise badariyaa, badlee etc...

koi ye nahi keh saktaa hai ke badariyaa istemaal me ghalat hai..

examples:

chhaayee karee badariya bairaniya ho ram
ghan badara gaganava jhukan lagee ho
more sajana bidesiya ko na aaye ho
chhaayee karee badariya

--------------------------------------------

jhuki aai re badariya saawan ki -2

saawan ki manabhaawan ki -2
jhuki aai re badariya saawan ki

etc....


waise aapki ek line maine uupar quote ki hai... usse ye to saaf samajh aa raha hai ke naujawaano se ishaara hum bacchoN par hai...

magar ye samajh me aa gaya ke aap ke liye nahi thi ye line Zidd uncle... hehehhee

gile shiqve muaafi.... yoonhi aapse thoda mazaaq kar liyaa...

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote