View Single Post
Old
  (#508)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,725
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
9th August 2014, 12:32 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Zarraa bhai jaisa ke aapne disccusssion bhi dekhaa hogaa lafz kafas ke uupar.....

what is your opinnion on this.... i request to aadeil saahab dont take this personal.... aapki razaamandi par hi maine is guftgoo ko aage badhaayaa hai....

zarra bhai ki raay ka muntazir rahunga..... aur agar ufaq saahab / zidd saahab dekh rahe hain ye thread to merii unse bhi yahi appeal hai.... ke rahnumaai farmaaen .... mere liye..

Shaad...

aadeil bhai, shaad bhai - shukriya ki aap ki guftagoo se mujhe aur pardhne waalon ko ek aham lafz par ghaur karne ka mauka mil raha hai - (bhale hi ye is baar ka lafz naheen hai ). saath hi shayari ke baareek nukton par hum soch rahe hain jis se mashq-e-sukhan bhi ho rahi hai. aap doston ke zariye is activity ka sahi maqsad haasil ho raha hai - aur lagta hai ki mujhe agli baar ka lafz bhi mil gaya hai - QAFAS

pehle mein is discussion ke key points recap kar deta hoon, jitna main samajh paaya hoon :

1. hum sab ye maante hain ki ye ek behtareen sher hai - pur-soz, pur-asar, kamaal ki manzarkashi kiye hue - ek baar phir se dheron daad Aadeil bhai

kamar se baandh ke khinchenge wo tere kafas* ko
kise uthaanee hai azaab is sard murde baar* ki
(kafas = dead body, baar = burden)
Aadeil

2. hum ye bhi maante hain ki lafz "qafas" ka literal meaning "cage" ya "prison" hai. is ka figurative ya symbolic meaning construct kiya ja sakta hai "body" ya "dead body" ke taur pe, jis ki misaal ye sher hain (jo Aadeil bhai ne quote kiye hain - waah kya khoob sher share kiye !)

maiN hone ko yuN to rihaa ho gayaa huuN
meri ruuh ab tak hai lekin qafas meN
Sher Singh 'Naaz' Dehlvi

qafas ko chaman se siva jaante haiN
har ik saaNs ko ham sabaa jaante haiN
Nasir Kazmi

is se pehle ki apna limited conclusion arz karoon, mere kuchh basic observations :

1. Aadeil bhai ka interpretation hai ki "wo tere prison jaise body ko kamar se baandh kar kheechenge kyunki teri cold dead body ka bhaar uthaane ki punishment kise qabool hogi" - hopefully I have captured the intended interpretation, pls correct me otherwise.

2. Shaad bhai ki uljhan shayad ye lag rahi hai mujhe ki *"qafas" ka koyee direct connection sher ke andar establish naheen hua hai to use dead body ka darja kaise diya hai ye ayaan naheen - hopefully I have captured the essence of the question correctly, pls correct me otherwise.

3. Ek ye sawaal bhi socha ja sakta hai ki "dead body" ka symbol "qafas" hai ya "khaali qafas", or is "qafas" good enough as a symbol. Not sure if this point is also contributing to the questions being raised. I will leave this point as food for thought for now.

4. Waise, sirf zauq-e-sukhan haasil karne ke liye aur kuchh is loye ki ye sher dil ko chhoo gaya hai, is sher ka ek aur potential interpretation, jo zehn mein aaya hai, arz kar raha hoon - Aadeil bhai hope to have your permission for it - "murde ko uthaane waala apni kamar se cage ko baandh ke kheench raha hai (apni mehnat kam karne ke liye shaayad), kyunki thande murde jism ka bojh uthaane ki saza use gawaara naheen. haay, zindagi kati bhi to qafas ke andar aur marne ke baad ye zillat ki kaandhe par uthaaye jaane ke bajaaye laash kamar se kheenchee ja rahi hai". is interpretation mein "qafas" ka literal meaning aata hai -.lekin chhorhiye, hum us hi interpretation par aage guftagoo karenge jo Aadeil sahab ka hai - arrey! aakhir ye un ka sher hai, to interpretation bhi un ka hi hoga warna wo hamaare liye kahenge "maan na maan, main tera mehmaan"

chaliye, lagta hai main ne kaafee footage kha li hai

ab apna limited conclusion arz karta hoon, which is based on my PERSONAL OPINION only and NOT on any sort of TECHNICAL KNOWLEDGE. would be most happy to hear any counter opinion or any other views on this matter which will help my learning.

mere khayaal mein, learning ke liye sawaal ye hai ki agar sher mein kisi lafz ya jumle ka figurative ya symbolic meaning istemaal mein aa raha hai, to kya us ko sher ke andar hi establish karna zarooree hai, ya phir hum assume kar sakte hain ki is ka ye matlab nikal sakta hai aur use sher meiN establish karna zarooree naheen hai. to agar "qafas" ko "human body" ya "human life" ke symbol ke taur par use karna hai to kya "qafas" se related kuchh na kuchh sher mein honi chaahiye?

is point par ghaur karne ke liye main un 2 aashaar ka sahaara le raha hoon jo oopar diye gaye hain aur jin mein lafz "qafas" ko as a symbol for human existence use kiya gaya hai - this is not an exhaustive conclusion, just based on little observation...

maiN hone ko yuN to rihaa ho gayaa huuN
meri ruuh ab tak hai lekin qafas meN
*Sher Singh 'Naaz' Dehlvi

qafas ko chaman se siva jaante haiN
har ik saaNs ko ham sabaa jaante haiN
Nasir Kazmi

in mein mujhe aisa lag raha hai ki shayar ne kuchh na kuchh hint diya hai jo qafas ke literal meaning se talluq rakhta hai, aur aisa kar ke lafz ke literal meaning aur symbolic meaning ke beech mein ek bridge bana diya hai.

Jaise - "maiN hone ko yuN to rihaa ho gayaa huuN - yahaan "rihaa" bridge ka kaam kar raha hai shaayad kyunki rihaayee qafas se hoti hai. *ya "qafas ko chaman se siva jaante haiN" - yahaan "chaman" bridge ka kaam kar raha ho sakta hai kyunki panchhee chaman se qaid hua tha qafas mein aane se pehle.

is hisaab se dekhein, to agar is sher mein "*kamar se baandh ke khinchenge wo tere kafas* ko /*kise uthaanee hai azaab is sard murde baar - is meiN koyee*halka sa bhi hint aa jaaye jo "qafas" ke literal meaning se taaluq rakhtaee hai, to us ke figurative meaning ka lutf aur bhi bardh jaayega - aur ek behtareen sher ka lutf zara aur bhi bardh sakta hai - the good can become great !

yaaron, pata naheen main ne oopar jo bhi kaha hai whether that makes any sense or not. maana main thorhi bahaut shayari kar leta hoon, par mujhe shayari ya urdu ki theory ka itna sa bhi ilm naheen hai...jo bhi kaha hai bas intuition aur gut feel se kaha hai. I request you guys to correct me wherever I may have gone wrong.

waise Aadeil bhai, aap par rashk aa raha hai mujhe, ki abhi kal hi hum ne is thread par Faiz sahab ke sher par analysis ki aap ke kehne par, aur aaj isee thread par hum aap ke sher ki analysis kar rahe hain meri aisi kismet kyoon naheen hai, koyee me sher ko ghaur karne laayak kyoon naheen samajhta just joking, not to be taken seriously :

aur Shaad bhai, shukriya aap ka ki aap ne ek constructive discussion prompt kiya jis ke zariye hum aapas mein apne khayaalaat baant rahe hain.

duaon ke saath
Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote