View Single Post
Old
  (#12)
Pradhyuman
'Bismil'
Pradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant futurePradhyuman has a brilliant future
 
Pradhyuman's Avatar
 
Offline
Posts: 773
Join Date: Mar 2006
Rep Power: 38
28th November 2010, 08:21 PM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post

aadaab yaaraane mahfil


aaj yahaan eid hai ajeeb si dil ki haalat ho rahee hai usee kaifiyat ki ek taazah ghazal shaayad aap ko pasand aaye meree tarf se tamaam chaahne waalon ko eid mobaarak



mujhe sataati hai teree judaayi har lamha
meraa naseeb teree kaj adaayi har lamha

kaj adaayi ….. munh pherne ki adaa ... lamha ...... pal

merey wajood pe gar che ghamon ki hai yurish
merey khayaal me kangan kalaayi har lamha

yurish…… hamlah

merey sho”oor ko ban ban ke naag dastee hai
wo teri saanson ki ouqdah kushaayi har lamha

so”oor ………ehsaas
ougdah kushaayi ….. gaanth (girah )kholnaa

ai kaash aaye koi din meree bhi qismat me
labon ki howe labon tak rasaayi har lamha

lab … lips ,,,,,,,,, rasaayi …….. pahonch

kabhi to gaisuye khamdaar the kabhi aariz
jo yaad aayi to saoghaat laayi har lamha

gaisuye khamdaar ….. lahraati zulf
aariz ….. gaal

tumhen jo sochun to dhadkan thehar si jaati hai
hai merey saath meree ye kamaayi har lamha

kabhi to darde jigar thaa kabhi hesaar e gham
nawaaderaat se mahfil sajaayi har lamha

hesaare gham …. Ghamon ka gheraa
nawaaderaat …… anmol cheezen

zaraa si baat pe Hassaas ho gaye barham ?
zaraa si baat pe itnee dohaayi har lamha ?

barham ……. Gussa
Masood sahaab kya kehne..waahh..daad..is tarah ke ehsaas likh paana bahot mushkil hota hai mere hisaab se..


-------------------------------------------------

gore ghareeban hai ye 'bismil', kyun tu naashaad nazar aata hai?
musht-e-khaak hai basi yahan, bata kahan fuwaad nazar aata hai?
--------------------------------------------------
   
Reply With Quote