Thread: Sawaal Jawaab!
View Single Post
Old
  (#86)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
10th July 2014, 02:52 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
aap zara ab shaad sahab ke sawaal par gaur kijiye
mai phir aata hu...
kuch naye logo ka nazariya dekhe pahle..
ji Ziddsaab,

aapka huqm sar aa.nkho.n par janaab...

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
bahot bahot shukriyaa Ziddd saahab aapke ehsaasaat aur tazurbaa hamaare saath baanTne ke liye....

ab baat puraani chalii hai to ek puraana sawaal meri jaanib se bhi arz hai...

kalam Muzaqqar hai ke muannas (male or female in terms of shayri)... ??

iska jawaab abhi tak mere liye pecheedaa hai... aap mushkil hal karenge to badee mehrbaani hogi..

Shukriyaa

Shaad....
Shoaib bhai,
bahot hi pechida magar interesting word leke aaye hai.n

pehle toh clarity maangta hoo.n ki shaayad aapka ishaara qalam (pen) kii taraf hai.

toh pehle toh sahi lafz hoga qalam (क़लम, قلم)..
yeh ek arabic lafz hai aur uska literal meaning hota hai (to cut from a reed or cutting of trees or plants). purane zamaane me.n pen ya pencil peD kii shaaKH ko kaat kar banaaya jaata tha, shaayad wahi se yeh lafz pen ke liye bhii istemaal hone lagaa.

Arabic me.n qalam ko muzaqqar hi gina jaata hai.
magar, aapka savaal iis liye jaayez hai kyu.n ki ghazal aur nazm me.n yeh dono hi jins me.n paaya gayaa hai..

kuch zyaada examples nahi hai.. muzaqqar ke.. magar ek/do dhund nikaale hai.n
tehreer main aa jaye agar lafz judai,
mehsoos yeh hota hai qalam Toot rahaa hai - NM

Alamma Iqbaal ke qalaam se kuch examples..
Na tujh se garz hey na teri surat se garz
Hum tou Bananay Walay ka qalam dekhtay hain

Safar-e-Shaam likha aur qalam torr diya
Gham-e-Sarkar likha aur qalam torr diya



qalam kii misaal kii ghazal toh bahot hai magar mushkeel yeh hai ki unme se kaii me.n jins kii pehchaan bataanaa mushkiil ho jaataa hai..

jaise yeh Ghalib saab kii ghazal se.. (hazaaro.n khwaishe.n aisii)
magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye
huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle

Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge - Faiz Ahmed Faiz

ek mashhoor Hindi gaanaa
kaagaz, qalam, davaat la, likh doo.n dil tere naam karu.n

muannas jins me.n istemaal kiya gayaa...
phoolo.n ke ra.ng se, dil kii qalam se
hamne likhii roz baate.n

aur bhii logo.n se apnii apnii raa.ay manzoor hai.

Regards



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote