View Single Post
Haalaat ki ujdi mehfil mein ab koi sulagta saaz nahin
Old
  (#97)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Haalaat ki ujdi mehfil mein ab koi sulagta saaz nahin - 18th July 2015, 04:48 PM

Haalaat ki ujdi mehfil mein ab koi sulagta saaz nahin



Haalaat ki ujdi mehfil mein ab koi sulagta saaz nahin,
naghme toh lapakte hain lekin sholon sa kahin andaaz nahin.

Har barq-e-haseen ko dete hain zakhmon ke mehakte nazraane,
kaanton se bada iss gulshan mein phoolon ka koi dum-saaz nahin.

Ya saaya-e-gul ka hai ye karam ya farq hai daane paani ka,
panchhi toh wahi hain gulshan mein pehli si magar parwaaz nahin.

Marqad sa bana hai khushbu ka munh band kali ke seene mein,
aye shaam-e-gulistaan tu hi bataa ye bhi toh kisi ka raaz nahin.

Chhilke na suboo aur jhoom uthen qatra na mile aur pyaas bujhe,
ye zarf hai peene waalon ka saaqi ka koi eajaaz nahin.

Aye sehn-e-chaman ke zindaani kar jashn-e-tarab ki tayyaari,
bajte hain bahaaron ke kangan zanjeer ki ye aawaaz nahin. !!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote