View Single Post
Namaabar apna hawaaon ko banaane waale
Old
  (#106)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Namaabar apna hawaaon ko banaane waale - 18th July 2015, 05:06 PM

Namaabar apna hawaaon ko banaane waale



Namaabar apna hawaaon ko banaane waale,
ab na aayenge plat kar kabhi jaane waale.

Kya milega tujhe bikhre hue khwaabon ke siwa,
ret par chaand ki tasweer banaane waale.

Maikade band hue dhoond raha hun tujh ko,
tu kahan hai mujhe aankhon se pilaane waale.

Tu pighal jaaye koi mom ka putla toh nahin,
khud na jal jaaye tujhe haath lagaane waale.

Sab ne pehna tha bade shouq se kaaghaz ka libaas,
jis qadar log the baarish mein nahaane waale.

Mar gaye hum toh ye qatbe pe likha jaayega.
so gaye aap zamaane ko jagaane waale.

Dar-o-deewar pe hasrat si barasti hai ‘qateel
jaane kis desh gaye pyaar nibhaane waale. !!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote