Thread: Duur talak gayi
View Single Post
Old
  (#51)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
23rd January 2013, 11:55 AM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post

ek hairat
angez baat bhi saamne aayi.... jab maine kaha pahle shaad sahab ko ki qalam optional gender hai to unhone beleive nahi kiya....jab mujeeb sahab ne use confirm kiya

Zidd saahab aadaab....

Amaa sach maane to subah se aapka koi massage nahi aaya to idhar bhi thodii boriyat honii shuru ho gayee thee... acchaa lagaa aapka jawaab dekh kar...

waise aapki baateN kaafi dilchasp hoti hain, lekin jaise ki is msg me aap zainy ji se mukhaatib they to mera jawaab denaa banta nahi hai... haan magar jo upar quoted lines hain usme shaayad aap mujhse mukhatib hain, isliye jawaab denaa zaruri samjhta hoon....

Asal me kal dopahar client se meeting thee, us wajah se kaafi busy ho gaya tha shaam tak... jab dekhaa to paaya behad se comment ho chuke hain us qalam ke mudde par.... aapke bhi aur mujeeb bhai ke bhi...

To maine har ek ko alag alag se quote krne ke bajaay, ek saath hi reply de diyaa.. aur aap agar gaur se padheN to maine dono ko is baat ka shukriyaa adaah kiyaa hai ke aap dono ne mere masle ka hal kiyaa hai...


Quote:
Originally Posted by Sameer'Shaad'
Filhaal jo mujhe shaq thaa "Naqaab" ka wo jyoN ka tyoN hai... magar Qalam ka shaq door karne ke liye aapka aur Zidd bhai ka bahot shukriyaa...

Zidd saahab agar aap mujhe Naqaab ne muannis hone ki agar chand aur misaal pesh karenge to yaqeen maniye dil bahot aaraam se is neutral gender waali baat qubool kar legaa...

Bhai ek baat aur kehna chahungaa... ke jaisaa hum log sanad maangte hain bade shayarOn ki.. kisi cheez ko maan lene ke liye... usi tarah aap jaise bade shayaroN tazurbekar insaano se poochte hain, jo ki khud ek sanad hai hum jaise taalibon ke liye.. aap keh denge to main maan loonga, aur even maan bhi gayaa kalam waali baat ko ..

lekin jahaan tak naqaab ka sawaal tha... maine aapko kai examples bhi diye, aur aap bas ameer minaai... kya uske alawa kisi ne nahi kaha naqaab muannas....

chaliye lekin jab aap nahi la pa rahe hain sanad.. to maine hi kuch koshish kiye hain... aur yaqeen maniye kal tak mujhe nahi pata tha sereously isliye aapse poch raha tha... magar kuch sher mile hain Naqaab ke muannas hone ke to chahataa hoon huzoor me pesh karoon..
naqaab kahatii hai maiN pardaa-e-qayaamat hooN
agar yaqiiN na ho dekh lo uThaa ke mujhe
[Jaleel Manikpuri]

hai dekhane waaloN ko sambhalane kaa ishaaraa
thoRii naqaab aaj vo sarakaaye huye haiN
[Arsh Malsiyani]


Zidd saahab ek baat aur poochna hai aapse.... kya aapke liye Sanad koi value rakhti hai ya nahi.... I mean jaisa ke janumanu ne kaha ke sanad se kaam nahi chaltaa, sedha seedha likha dikhaao ke naqaab ya kalam kaise common gender hai...

kya shayar wo nahi jo ishaaron se kahe aur ishaaron ko samjhe... seedha seedha har sawaal jo aapke zahen me utehy zaroori nahi ke uskaa jawab bhi seedha seedha hi miley...

aur maine aapke common gender wali baat maan li hai saahab, bas aap se koi aisaa sher manga jo naqaab ko us form me dikhata... magar chaliye maine khud hi dhund liyaa apne sawaal ka jawaab....

muaafi chahunga jo aapki shaan me khalal pahuchaai....

Shaad...


Shaad...

Last edited by maikasH; 25th January 2013 at 04:06 PM..
   
Reply With Quote