View Single Post
Re: O Sharabi! O Sharabi!
Old
  (#2)
ruhani
Registered User
ruhani is a jewel in the roughruhani is a jewel in the roughruhani is a jewel in the rough
 
ruhani's Avatar
 
Offline
Posts: 1,499
Join Date: Feb 2005
Location: punjab
Rep Power: 23
Re: O Sharabi! O Sharabi! - 19th May 2005, 07:33 PM

Quote:
Originally posted by Rohin
Hi Everyone,

Bahut din ho gaye is section mein kuch likha nahi...

Hmmm....

Sharab aur shayri ka bahut hi purana rishta hai...
to ek sher to kehna hi chahiye.....

Lijiye... pesh-e-nazar hai...

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

O Sharabi! O Sharabi!

O Sharabi! O Sharabi!
Aa mehfil mein aa,
dekh hai kitni, masti yahan,
Haathon mein le ek jaam jara,
Tu piye ja, Tu jiye ja, Tu piye ja

O Sharabi! O Sharabi!
Khamosh hai tu kyon bata
Hai tere dil mein dard kya bhala
Jaam ko honton se tu lagaa jara
Dil ka haal tu humme bata jara

O Sharabi! O Sharabi!
Abhi to hai raat baaki
Maikhane mein bahut hai baaki,
Madhoshi ka hai aalam yahan
Nashe mein tu kho ja jara

O Sharabi! O Sharabi!
Tute dil ki yeh dawa hai
Pe do ghooth aur jhoom jara
Dekh duniya bhi sang jhoome tere
Jaise Jaise chadhe iska Nasha

O Sharabi! O Sharabi!
Dil ki dhadkan sun jara,
Kadmoon ko tu sambhal jara
Nashili aankhon ko tu khol jara
paimane mein hai sharab jara

-- Rohin Bhargava
@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@
dearest rohin,
sach mein sahi kaha tha meine u are masters in each saction. just loved reading each word of urs. ek gaana yaad aaya musafir picture ka tumhari is kalam ko padhne ke baad so posting ahead for u. take care n keep on writing buddy. god bless u with his finnest glitters.

Saaki se mohabbat hoti hai
Har roz, shikaayat hoti hai
Peene ko mere peena na kaho
Yunhi toh ibaadat hoti hai

Woh sharaabi kya sharaabi, jo nashe mein na rahe
Woh sharaabi kya sharaabi, aise jo tauba kare
Woh sharaabi kya sharaabi, dil mein jiske gham na ho
Loot gaya samjho sharaabi paas jiske ham na ho

(Oh saaki saaki re saaki saaki
Aa paas aa, rahe na jaaye koyi khwaahish baaki)

Woh sharaabi kya sharaabi, jo nashe mein na rahe
Woh sharaabi kya sharaabi, aise jo tauba kare
Woh sharaabi kya sharaabi, dil mein jiske gham na ho
Loot gaya samjho sharaabi paas jiske ham na ho


(Oh saaki saaki re saaki saaki
Aa paas aa, rahe na jaaye koyi khwaahish baaki)

Ishq ki galiyon mein na jaana, ishq bada badnaam hai
Ishq toh mera khuda hai, aashiq mera naam hai..ho…
Ho..i.shq ki galiyon mein na jaana, ishq bada badnaam hai
Ishq toh mera khuda hai, aashiq mera naam hai
Aashiqui ke har qadam pe, husna qatl-e-aam hai
Eh…aashiqui mein jaan lootaana aashiqon ke kaam hai
(Oh saaki saaki re saaki saaki
Aa paas aa, rahe na jaaye koyi khwaahish baaki)

Maikade mein aane waale maikashi toh seekh le
Hampe hasne waale pehle tu hasi ko seekh le…oh…
Hey…maikade mein aane waale maikashi toh seekh le
Hampe hasne waale pehle tu hasi ko seekh le
Har khushi hai door tujhse, gham tere nazdeek hai
Haay...tere diwaane ki haalat, bin tere bhi thheek hai
Oh saaki saaki (saaki saaki saaki)
Aa paas aa, rahe na jaaye koyi khwaahish baaki
(Oh saaki saaki re saaki saaki
Aa paas aa, rahe na jaaye koyi khwaahish baaki)



mera aashiyaan tha wahan jahan toofanon ka theekana tha,
ek naadan dil tha aur ek bedard zamana tha!
na jaane kyu ussi pal mil gaya ek dard naya,
jab kisi roz mere labon ka muskurana tha!

*****************************

Kutch bayani ho ehsaason ki…..
Kutch kahani ho jasbaaton ki….
Ek paaq bazm jahan ho sirf pyar…..
Dhoondte hain koi aisa manzar yaar….

Karein ek dooje se har koi lagaav….
Koi kare shikayat koi de sujaav
Naazim kare hifaazat-e-pyar…
Dhoondte hain koi aisa manzar yaar….

Buzurgoon ki kahawaat hai…
Fal-e-intezaar meetha hai….
Kehte hain Jas- Nal- Aman….
Thoda sa, bus thoda sa intezaar….

   
Reply With Quote