View Single Post
Bhagya vs kaRma
Old
  (#2)
secret admirer
Registered User
secret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nice
 
Offline
Posts: 473
Join Date: Mar 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
Bhagya vs kaRma - 12th July 2010, 04:59 PM

Katil bhai ko sadar namashkar........
apki ek aur nayi thread....aur main na aauN apne vichar prastut karne to aisa to ho hi nahi sakta....aapne kaha hai k example practical rakhna to theek hai jaisa aap kahein....



KaRm (work) Vs Bhagya (luck)

KaRm (work)
KaRm use kahte hain jo hum khud k dHwara apne liye ya kisi dusre ke liye PHal athwa udeshya prapti k liye karte hain…

Bhagya (luck)
Bhagya use kahte hain jahan hame kisi dusre k kiye kaRmo dHwara bina suChna k PHal ki prapti hoti hai…

Dono batoN ko ek hi example main samjhane ki koshish karta hoon….shadi k baad ek couple ek bacche k mata pita bante hain…..ye unke kaRm tHe….parNtu bacche ka bhagya hai….k wo unki santaaN bana…jaisa k Zahir hai k isme bacche ka koi kaRm nahi tha fir bhi use PHal prapti hui hai naya jeewan or mata pita k roop mein aur couples ko apne kaRrmo ka PHal bacche k roop mein....

(Isse jayada saral aur upyukt example mujhe koi dusra nahi mila)


Ab baat karte hain k bhagya bada ya kaRm

Dono me se kisi ek ki tarafdari karma to esa hoga jaise ek maa se pucha jaye k tere do bacchoN me se tujhe koon jayada pyaara hai….chaliye maa ko rahne dete hain uske bacchoN k sath aur chunav karte hain k kaRm aur Bhagya mein koon bada…to bhai mera manna hai k dono mein se kaRm bada haiKyunki kaRm k aage bhagya ka astitva kam hota hai…jaisa k main pehle hi kah chukka hoon k kisi dusre k dHwara kiya gaya kaRm hi hamara bhagya banta hai…..aur har waqt to koi apke liye kaRm nahi karega...to le de k niskarsh ye nilta hai k kaRmo se hi Bhagya ki uTpaTti hoti hai…

Ab misaal k taur par…ek aur example deta hoon apko…ek sacchi ghatna ka…ek baar main apne ek dost k sath mussoorie se dhanaulti bike se ja raha tha hamme us din dhanaulti mein hi camp karma tha….sham ka waqt tha halka halka andhera hone laga tha…dhanaulti se sirf 3 km pehle hamne dekha k ek ladka paidal dhanaulti ki taraf ja raha hai…kuch hi duri par ek leopard beech raste mein baitha tha…wo ladka achanak se ulte pawn bhagne laga…aur bhagte bhagte hamari bike k aage chala aaya meri nazar tab tak us leopard par pad hi chuki thi maine aur mere dost ne us ladke ko sambhala….aur kafi der tak uske sath wahin ruke rahe jab tak k leopard wahan se chala nahi gaya…uske baad hamne usko bhi apne sath bike par bithaya aur dhanaulti ki taraf nikal pade…usne hamme camp karne k liye ek acchi jagah bata di…aur wo apne raste chala gaya…us jagah apna camp lagane k baad humne socha k chalo thoda aaram karte hain uske baad kuch sookhi lakdiyaaN ikathi karenge aur khana banayenge thakan k karan hamari aankh lag gayi thodi der mein jab ham jage to dekha k barish ho rahi hai…hamme laga k shayad aaj bhukHa hi sona padega par tabhi hamne mehsus kiya k jaise kuch log hamare camp ki taraf chale aa rahe hain…bahar torch ki roshni laga kar dekha to wo ladka apne kuch dostoN se sath aa raha tha hamme badi hairani hui…usne aate hi hamse kaha k mujhe laga aap logo ko shayad khana banana ka mauka nahi mila hoga is liye main apke liye khana laya hoon…yakin maniye…hum na kuch kah paye na hi vishwas kar paye k jo hum dekh rahe hain wo sach hai ya koi sapna…us din to apne kiye gaye acche kaRmo aur us ladke k karmo ki badaulat khana naseeb ho gaya…isse aap hamara bhagya bhi kah sakte hain...

To aNt mein itna hi k Bhagya hai par kaRm se badkar nahi…kaRm har waqt sath dete hain Bhagya nahi....Bhagya kabhi bhi badal sakta hai par apke kaRm hamesha apke sath chalte hain....


Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !!
(NM)

Last edited by secret admirer; 12th July 2010 at 05:55 PM..
  Send a message via Yahoo to secret admirer  
Reply With Quote