View Single Post
Old
  (#33)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
12th October 2006, 06:44 PM

miley na jo mehnat se do bhi nivaale
roya maiN dekh apne haathoN ke chhalley

kareiN bhi gilaa ab to kis se kareiN
humhiiN ne to saaNp aasteenoN meiN paale

Gham-e-ziNdagi ke aNdheroN meiN jaanaaN
terii yaad ki sham'aa se haiN ujaale

kuch aur hi baat thi unki saaqi
vo dete the bhar ke jo aaNkhoN se pyaale

badi aarzoo hai ke mehNdii lagaa kar
vo aa ke mere kafn pe khaak daale

chali aana saara jahaaN aazmaa kar
maiN baiThaa huuN apni wafa ko saNbhaale

"maikash" tere baad dhooNdeNge tujhko
"sharaabi,sharaabi" tujhe kehne vaale



WAH...! WAH..!!!
Maikash bhai
namashkar
har sher..ek chalakta hua "jaam" hai aapki gazal ki "botal" ka...jaise jaise padhta gaya...waise waise surur chathta gaya...!!pilana wala jab aap jaisa "saaqi" ho to "maikashi" ka mazza hi kuch aur hai.!!
ek "toote paimane" ki bharpoor daad kubool kijiye...!!
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote