View Single Post
Old
  (#3)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
Thumbs up 15th April 2009, 07:10 PM

Aadaab Diya Ji
Diya ji bahut khoob ehsaas pesh kiye aapne ek beti ke dil ki baat bakhubi keh si aapne apni is umda gazal mein dil khush ho gaya aapko itna aacha likhte hue dekh kar khaaksaar daad deta kai unhi likhti rahey...TC


Quote:
Originally Posted by Diya_Jale View Post
Mahfil ko Diya ka Salaam,
aaj ek sachai ko aap sabke samne rakhne ja rahi hun ,
yeh woh pal hai jo har ladki ke zindagi mein aate hai ....
aur har koi isko mehsus karta hai.....

yeh sirf mere dil ke ehesaas hai jise mein aap sab se share kar rahi hoon
Shayad aapko pasand aaye ....yeh ghazal humesha mere Dil ke kareeb rahegi
ghaltiyan keliye muaafi ki haqdar hu..............





Har koi nibhaaey yeh duniya daari babul
beti vidaa karne kii teri hai bari babul

Chhor ke chali jayegi beti maayka apna
sunehri yaadeiN bachpan ki saari babul

Rah jayenge pichhe apne khoon k rishte
yeh duniyaa ki reet kitni niyaari babul

Maa ke aanchal ki chaw jab naa milegi
khoob royegi tab teri raaj-dulari babul

Saat feroN me banega rishta saat janam ka
fir paraaii ho jayegi beti tumhari babul

Kaise jiyegi Maa judai beti ki seh kar
ye rasm padegi uspe bahot bhaari babul

Teri har yaad ko dil mein basa kar Diya
ho jayegi apne saajaN kii pyaari babul


"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.




  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote