Thread: Duur talak gayi
View Single Post
Old
  (#53)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
23rd January 2013, 12:45 PM

Mujeeb bhai ..
muaafii chaahta huN der se haazirii dene ke liye par kal shaam thumb e rozgaar meiN mubtila hona hi aapki buzm merii namauzoodgii ka sabab bana ..

Aur bhai aap kyuN khaamkhaa sharminda kar rahe ..maiN to nahi maanta ki aap koi mukhaalfat kar rahe haiN..albatta ye to aapki dariya-dilii hai jo aap ke qeemtii waqt ka ek bada hissa aapke ilm ke saath hum dostoN ko mayassar hai ..

Badii zaahir si baat hai ki har cheez chaahe vo bejaan hi kyuN na ho usse pukaarne ke liye ek jins makhsoos hai ..itna ilm to shayad mujhe bhi hai..

Aapka khud maan-na hai ki kuch jins aam haiN to iske maani muzakkar aur muannas pe jirah pehle se hai ..

Abhi aap ne kaha ki ustaad bhi ghalti karte the kyuN ki vo insaan the ..
Aakhir ye qaaide bhi to insaanoN ke banaaye hue haiN aur kya insaan ki banaii kisi cheez meiN raddo-badal ki gunjaaish nahii ???

Aapka khyaal zaroor jaan-na chaahunga iss baare meiN ..

Shayad aapko yaad ho TUTI naam ka ek parinda hota hai jo ki muzakkar hai par jab se janaab meer anees ne usse apni shayrii meiN muannis ke lihaaz se istemaal kiya .. aaj poori duniya ye muhaavra misaal ke taur pe detii hai " TUTI BOLTII HAI "

Hindi meiN ek kahaavat hai

JAHAAN NA PAHUCHE RAVII
WAHAAN PAHUCHE KAVII

Yaanii ek shaayar ko kisi bhi daayre meiN nahi rehna chaahiye uss ki soch pe koi paabandii nahii hoti ..
yahaaN itna sab likhne ka matlab ye hargiz nahii ki maiN kisi aur ko ghalat aur khud ko sahi thahra raha yuN ..bas kuch sawalaat haiN jinke jawaab talaash raha huN khud ko mutmain karne ke liye ..

Rahi baat naqaab ki to bahut se shaayroN ne isse muannas ke taur pe istemaal kiya hai
Daag dehlawii saaheb ka ye sher pesh e khidmat hai

Bekaar musht e khaak uraatii phiri saba
Gosha ulat diya na kisi KI naqaab ka
Aur bhi jitnii chaaheiN utnii misaaleiN mil sakti haiN

Baaki aap apna khyaal rakheiN
Hume ijaazat deiN


andaaz
   
Reply With Quote