View Single Post
Old
  (#17)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
30th June 2014, 09:44 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Zarraa saahab aur zainy saahiba, subha bakhair....

aap dono ki guftagoo padh kkar bahot hi acchaa lagaa, aur ye dekh kar aur bhii khushi huii ke seekhne sikhaane ka ye silsilaa chaal padaa hai apne mukaam ki taraf.....

main nishaandehii to nahi karnaa chahtaa magar mera ek choTaaa saa sawaal hai... aap dono se aur baaki ke padhne waalon se ke...

kyaa Lafz "NazreN" valid hai ???

Nazar se nazaare ho saktaa hai , Nigah se nigaaheN bhi ho saktaa hai magar kyaa Nazar ka plural NazreN ho saktaa hai.... i am bit confused..

agar aap isme koi lughaat ya misaal pesh karenge to meri kamilmii me izaafaa hoga....

shukriyaa

Shaad....
Shaad sahab adaab.....Agar maiN aapka prashn samjha hooN to yahi kahuNga.....ki "NAzreiN " lafz...Nazar se hi hua..iska plural NazreiNki tarah hi iste-maal hota dekha gaya hai....bahut se GeetoN meiN our GazloN meiN bhi....ye lafz isi tarah iste-maal hote dekha gaya hai...jaise


(Majrooh)
dil ke haatho.n se daaman chhu.Daakar
Gam kii nazaro.n se nazare.n bachaakar
uThake vo chal diye, kahate hii rah gaye ham fasaanaa
haay haay ye zaalim zamaanaa

Lyricists :Abbas Tyrewala
Movie :Jaane Tu ...Ya Jaane Na

Nazrein milana
Nazrein churana
Kahin pe nighahein
Kahin pe nishana


aise kayii our bhi haiN.....

Shukriya

Harash Mahajan

Last edited by Harash Mahajan; 30th June 2014 at 10:07 AM..
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote