View Single Post
Old
  (#488)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
8th August 2014, 12:04 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post

kamar se baandh ke khinchenge wo tere kafas* ko
kise uthaanee hai azaab is sard murde baar* ki
(kafas = dead body, baar = burden)

Aadeil bhai kyaa kahne aapke is sher ke, kamaal ki manzarkashii ko pesh kiyaa hai aapne........ har ek lafz cheekh cheekh kar apna dard bayaaN kar rahaa hai... bahot hi aalaa......

ek lafz mujhe rah rah kar thoda sa pareshhan kar rahaa hai aur zaahir hai merii kam ilmii ki hi wajah se...... agar aap thodii si merii madad farmaaenge to behad khushi hogii....

Lafz hai "kafas" jo aapne is sher me istemaal kiya hai....

mujhe jaisaa lagta hai aap lafz Qafas ka zikr kar rahe hain... aur jitnaa main jaantaa hoon it resembles to a cage or prison.... kuch sher aapko sanad ke taur pe pesh karta hoon...

na pahu.nchegii kabhii kyaa gosh-e-gul tak
qafas se u.D ke fariyaad-e-anaa dil

hasrat mohani saab..


qafas hai daam hai bha.Dkii hu.ii hai aatish-e-gul bhii
isii maahaul me.n andaaza-e-parvaaz hotaa hai

- Qabil ajmeri saab



Mujhe filhaal koi refrence nahi milaa hai jahaan qafas as a dead body/ body ke liye istemaal hua ho... par logically agar sochaa jaae to it can be used as a body, jism ki qaid, something like that.....

but i am looking for ustaad reference , if can help me finding that i shall be thankful......

Ummeed karta hoon meri baaton se kisii bhi tarah ki naagawaari na hogii.... aur seekhne sikhaane ka ye silsilaa yunhi kaayam rahega....

shukriyaa

Shaad.....


Shaad...
   
Reply With Quote