Thread: sahar ka safar
View Single Post
sahar ka safar
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
sahar ka safar - 16th May 2019, 10:05 PM

sahar ka safar (azad nazm) ...


hum ne ye na socha tha

shab taveel* yooN hogi (*long)

hum ko to ye lagta tha

haq sahar* pe hai apna (*dawn)

par kisi ki kismat meiN

hai ziya* na zulmat** hi (*light **darkness)

kuchh asar maraasim* ke (*relationships)

zakhm bhi dawa bhi haiN

parvarish jo paayee hai

paNkh bhi qafas* bhi hai (*cage)

aur kuchh apni fitrat meiN

amn bhi adaavat* bhi (*aggression)

hirs* bhi bagaavat bhi (*ambition/greed)

be-dili bhi hasrat bhi

rakht* ye utha kar ke (*baggage)

manzil-e-sahar paane

hum safar pe chal nikle



gaam* gaam ja* se ja (*step **place)

shahar shahar dar se dar

log log dil se dil

ye safar naheeN aasaaN

mehfiloN se khalvat* ka (*solitude)

izzatoN se zillat ka

ulfatoN se nafrat ka

hum safar se taNg aa kar

poochhte haiN jhuNjhla kar

ye sahar kahaaN par hai

haNs rahi hai shab hum pe

haNste haNste kehti hai

is safar ki gardish* meiN (*circulation)

tum jahaaN naheeN rukte

ye sahar wahaaN par hai


- zarraa

सहर का सफर (आज़ाद नज़्म) ...

हम ने ये न सोचा था
शब तवील यूं होगी
हम को तो ये लगता था
हक़ सहर पे है अपना
पर किसी की किस्मत में
है ज़िया न ज़ुल्मत ही
कुछ असर मरासिम के
ज़ख़्म भी दवा भी हैं
परवरिश जो पायी है
पंख भी क़फ़स भी है
और कुछ अपनी फितरत में
अम्न भी अदावत भी
हिर्स भी बगावत भी
बे-दिली भी हसरत भी
रख्त ये उठा कर के
मंज़िल-ए-सहर पाने
हम सफर पे चल निकले

गाम गाम जा से जा
शहर शहर दर से दर
लोग लोग दिल से दिल
ये सफर नहीं आसां
महफ़िलों से ख़लवत का
इज़्ज़तों से ज़िल्लत का
उल्फतों से नफ़रत का
हम सफ़र से तंग आ कर
पूछते हैं झुंझला कर
ये सहर कहां पर है
हंस रही है शब हम पे
हंसते हंसते कहती है
इस सफ़र की गर्दिश में
तुम जहां नहीं रुकते
ये सहर वहां पर है

- ज़र्रा


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote