View Single Post
Old
  (#5)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
12th June 2014, 07:26 AM

Quote:
Originally Posted by ufaq View Post
Aadab.....Ahmad sahib ...sabse pahle to ek nek kaam Ke liye aapko hazaaro-lakho daad......buzurgo ne kahaa hai .....ilm baantne se badhta hai.....aur sahii kahaa hai...par afsos huya ki ek bhi comment nahi.....khair chhodiye.....agar is thread ko padhkar kisi ek taalib e ilm ko bhi faiz haasil huya to aapki mehnat rang laa gayi....lekin bhai ek baat Kahani hai.....article to bahut achcha hai lekin usme kuch baate'n outdated hai......I repeat outdated hai ,,,,, ghalat nahi......bold letters men apni haqeer raay zaahir jar raha hu.....kuch ghalat lage to ROK Lena....

(1) aapne paaband nazm me'n kahaa hai ki iski shakl ghazal ki soorat men bhi ho sakti hai aur band ki soorat men bhi.....ye definition ghalat nahi hai lekin ab ghazal ki soorat wali nazm ko baqaayda.....musalsal ghazal Ke taur par tasliim kar liye gayaa hai ...yaani paaband nazm wahi hai Jo band ki soorat me hai nahi to WO musalsal ghazal hai

(2)isii tarah ab nazm e me'ra ( ghair - maqfa nazm ) ko aazad nazm se juda mankar nazm ki 4th iqsaam ki shakl me'n tasliim kar
liya gayaa hai



Bhai.....kisi baat ko dil par mat Lena.....Bas mujhe lagaa ki Jo kuch aadha - adoora mujhe aata hai ....aapse saanjha kare lu.....aur haa'n aapne ye article poora kyun nahi kiya.......aapse guzaarish hai ki aap apna article jald se jald poora kare.....

REPS ++++++++++++
Aadaab Ufaq Bhaee!! KhushAamdeed! KhushAamdeed!
Bhai sabse pahlay aapkay muhabbat say labrayz kalimaat wa purkhuloos jawaab ka tahay dil say shukriyaa adaa karna chahoonga!

Ufaq Bhaee... khaaksaar ab bhi shayri ki dunya mayn tif-e-maktab haye, aaur aapnay jo Nuqta uthaya haye aur uspar roashnee daali haye uskay liyay bayshumaar shukriyaa! Mayn aapsay muttafiq hoon..
Shaayad aapko yaad hoga is section "Shayri ki paath-shaala" mayn maynay iftitaahi threads mayn ayk thread banaya tha darkhwast e islaa, requesting the dissection of of one of my works.."Bataa tu bhi aakhir pshemaan kyoon haye.."
And AlhamduLillah that was frtuitful discussion.. but coming back to the point...that work .... about which...even I was not sure that whether was it a ghazal or a nazam... in the end the ulema of our site held the view it is an example of a "Musalsal Ghazal".... that will be a live example to me of the point you have raised above janaab!

Aur doosri baat bhaee... kabhie bhi is gumaan mayn nahee rahayn ki ta'leemi tazkiray wa tabsiray kay mutaalliq mujhay koee bhi baat takleefdayh hogee... balki mujhay khushee he hogee!!


Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote