Quote:
Originally Posted by mast
bade aache kat rahe hai din kya kahun kya baat hai
has deta hooN sar uthaa kar shukr tu mere saath hai
khwaabon ko hoon main jee liya khwaabida si phir raat hai
kaise kahun ki main kaun hooN kya yeh ahl-e-jamaat hai
teri shokhiyaan teri chaahatein woh zara zara si inaayatein
teri bandhagi ab junoon hai gar kahin koi kayinaat hai
aksar hai mujhse woh poochte meri nazar mein aisi kya baat hai
tujhe dekh kar main chup sa hooN jo nazar mein aab-e-hayaat hai
|
waaahhhhhhhhhh
teri shokhiyaan teri chaahatein woh zara zara si inaayatein
teri bandhagi ab junoon hai gar kahin koi kayinaat hai
Masha Allaah mast bhai.. kya khoob ghazal huii hai aapki is baar... dl aa gaya meraa, kai baar padh gayaa ise.... bahot hi shaandaar.... dil se likhe kalaam ko dil se daad...
likhte rahiye
Shaad...