View Single Post
Old
  (#92)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
23rd September 2014, 12:53 AM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post


4..Aap ke khayal se accha shayer banne ke liye kya zaruri hai..??

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Zainy ji, sawaal to bahaut achchha bhi hai, dilchasp bhi aur aham bhi ... magar saath saath mushkil bhi, pecheeda bhi, aur I suspect is ka ek multidimensional answer hoga. Koyee "readymade" thoughts bhi naheen hain mere paas is sawaal ke mutalliq. But I definitely want to take a crack at this question.

Agar aap ki ijaazat ho to, main is par kuchh din soch vichaar kar, is par waapas aaoonga. Is beech ho sakta hai kuchh aur sawaal-jawaab ya guftagoo ho jis se mujhe is ke liye kuchh additional thoughts mil jaayein.

Par main aap ke uthaaye sawaal par interview khatm hone se pehle zaroor kuchh na kuchh arz karoonga.

Hope you don't mind and I have your approval. Please do let me know otherwise.

Many thanks
Zarraa

Zainy ji, behad maazrat khwaah hoon ki aap ke ye ek sawaal ka jawaab abhi tak naheen diya hai. Jaisa main ne pehle arz kiya tha, ye ek bahaut hi fundamental sawaal tha aur main chaahta tha ki maheene bhar sher o sukhan ke maslon par ghaur karne ke baad, saare discussions ke ideas assimilate kar ke, is azeem sawaal par apni adna si raay zaahir karoon.

is sawaal ke jawaab mein agar kayee kitaabein bhi likh di jaayein to kam hongi, magar bas is ka bahaut limited sa replt de raha hoon, bas thorhu bahaut baatein jo zehn mein aayee hain umhein le kar .. ye koyee bhi technical ya literal opinion par based theories naheen hain, bas mere opinions ya jo kuchh idhar udhar se grasp kiye huwe thoughts.

aur apni soch se ziyada main ustaad shora ke aashaar ka sahara le raha hoon, khaaskar Ghalib ke aashaar ka, jin ko main me apna ustaad maana hai ( bina un ki permission ke kyunki wo hargiz mujh jaisa naamaakool shagird naheen rakhte)*

Shayar banne le liye agar 5 baaton ka zikr karoon, to wo kuchh is tarah hongi (this is definitely not an exhaustive or conclusive list)

1. In born talent or inclination, or call it destiny, whichever way.*

to is lihaaz se shayar "bana" naheen jaata, balki jis mein shayari ki hunar apne aap hota hai, ye us ke haath main hai ki wo apna fan pehchaane aur use shayari ki khidmat mein lagaaye. us ke baad haalaat ka bhi khel hai ki use seekhne ke kaise mauke milte hain, us ko kaisi sangat naseeb hoti hai wagairah wagairah.

yahaan Ghalib ka ek quote rakhna chaahoonga, jo main ne kuchh is se tarah se suni hai *"main ne shayari khud naheen ikhtiyaar ki, balki shayari ne khud mujhe majboor kiya ki main use apna fan qaraar doon"

2. shayari be-iraada be-ummeed-e-sila ki jaatee hai. ye bas isiliye ki jaatee hai ki bin a kiye raha naheen jaata. phir us ka kya achchha-bura anjaam hota hai, ye aur baat hai.

is par Ghalib ke 2 sher

sau pusht se hai pesha-e-aaba sipehgari
kuchh shayari zareeya-e-izzat naheeN mujhe
- Ghalib

n sataaish ki tamanna n sile ki parwaah
gar naheeN haiN mere ashyaar meiN maanee n sahi
- Ghalib

3. bekhudi ... khud ko bhula dena aur bhulaaye rakhna.. aur aisa tab hota hai jab shayar ke ehsaasaat, jazbaat aur khayaalaat ki parwaaz itni buland ho jaatee hai ki wo use khud se kaheen door le kar chali jaatee hai. jab shayar apne baare mein bhi baat kare to wo khud ko bhi ek ghair ki tarah dekhe aur apne aap par tabsira kar sake, apni hi sharh kar sake ... *aur khud se door jaane ki haalat mein wo aur logon ke paas aane ki taaqat rakhta hai jis se wo *doosron ke ehsaasaat ko bhi waise hi mehsoos kar paata hai jaise ki wo us ke khud ke hi hon.

kuchh aashaar ...

bekhudi besabab naheeN ghalib
kuchh to hai jis ki pardadaaree hai
- Ghalib

hum wahaaN haiN jahaaN se hum ko bhi
khud hamaari khabar naheeN aatee
- Ghalib

bekhudi le gayee kahaaN hum ko
der se intezaar hain apna
- Meer Taqi Meer

dikhaayee diye yooN ki bekhud kiya
humeiN aap se hi juda kar chale
- Meer Taqi Meer

sab ka to mudaawa kar daala apna hi mudaawa kar n sake
sab ke to girebaaN see daale apna hi girebaaN chaak raha
- Majaz

4. Power of observation & imagination, extrapolation & conclusion, exaggeration & miniaturization

ab ye itne saare lambe lambe "ion" waale words keh ke main kya kehna chaah raha hoon... ho sakta hain aap hairaan hon*

bas Ghalib ka ek hi sher kaafee hai sab kuchh samjha dene ke liye

qatre meiN dajla dikhaayee n de n juzv meiN kul
khel bachchoN ka huwa deeda-e-beena n huwa
- Ghalib

is nayab sher ko, mere hisaab se, describe naheen kiya ja sakta, bas samjha aur mehsoos kiya ja sakta hai, jis ke liye is link ki madad li ja sakti hai

http://www.columbia.edu/itc/mealac/p...22/22_08.html?

5. And of course, love of words and the fascination for the written form.

words are the bricks with which the city of shayari is built.*

2 sher ...

ganjeena-e-maanee ka tilism us ko samajhiye
wo lafz jo "ghalib"mere ashyaar meiN aave
- Ghalib
(ganjeena-e-maanee = treasury of meaning)

a link to a commentary on the above sher
http://www.columbia.edu/itc/mealac/p...73/173_11.html

mere rone ki haqeeqat jis mein thi
ek muddat tak wo kaaghaz nam raha
- Meer Taqi Meer


Zainy ji, ye bas aadha adhoora sa jawaab hi ban paaya hai aap ke azeem sawaal ka. Aap ka bahaut bahaut shukriya ki aap ne ye sawaal poochh kar mujhe majboor kiya ek aham pehloo par sochne ke liye, jis par shayad mere dimaagh ke kisi kone mein kuchh khayaalaat zaroor pinhaan the, magar aaj wo meri zubaan par ayaan ho gaye


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote