Quote:
Originally Posted by secret admirer
kya kahun doston ek dost hua karta tha kisi zamane me waqt ke sath sath wo bhi badal gaya bhool gaya apni dosti ja baitha kisi aur ki mehfil me...........ussi dost ke naam ka maine ek kutta pala aur dekhiye us naam ka us kutte par assar ke wo bhi wafadar na raha...........
tere naam ka kutta pala
tere jaisa dhila dhala
sabse hai yaari uski
bagal me rahti pyari* uski
din bhar chhat par mara sa rahta
khana pani bas dhara sa rahta
halat uski dekhi na jaye
karun kya kuch samajh na aaye
vaidh - hakeem sabko dikhlaya
marz uska koi bata na paya
ek din padosi ghar par aaya
sang apne wo pyari laya
tabhi raja babu niche aaye
pyari ne bhi diye nayan milaye
kutta mera kuch badal gaya tha
ishq me wo fisal gaya tha
marz uska kuch kuch samajh me aaya
padosi ko bhi hamne samjhaya
ban kazi unka nikah padwaya
apne kutte ko marne se bachaya
ab uska chhat par jana nahi hota
apna ghar bhi ab thikana nahi hota
kabhi kabhi ghar bhi aata hai
warna to pados se hi aawaz lagata hai
shukKar hai tere naam ka sher nahi pala
warna main hi hota tera pehla niwala
pyari - mere tommy ki timmi
|
kya baat bahut khoob ha ha ha ha ..............