View Single Post
Old
  (#110)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
23rd December 2012, 11:01 AM

Quote:
Originally Posted by Rashmi sharma View Post
sunita ji, zainy ji ahmad bhaai aru ji taish ji or sabi sdc members ke sahmane hain hum apni haqiqat lekar deri ke liye muaafi ke talabgaar hain par plz pad liziyega

Forum Name-Rashmi Sharma

Real Name (if You Want To Disclose!)-
Rashmi Sharma

Sex-
female

Abode-
Chandigarh

Birthday:
17 dec

Sun Sign:
sagitarous

Favorite Drink:
jaroorat ke mutabik jo bhi mil jaaye

Favorite Food:
matar mashroom, paneer, kadi chawal, sabut udad ki daal, saag, makki ki roti ,rayta, with sookha bhuna zeera pr afsos khaate hi bimaar ho jaati hoon

Favorite book:
bahut kuch bolne wali hoon
bachpan se hi books padte aai hoon ghar mein bahut novels hote the papa hamaare liye pocket novel leke aate the. bade novel padna us time humaare liye manaahi thi or bhi magazine aate the jaise;- champak, diwaana , lotpot etc fir thoda bade hue to sarita, garah-shobha, woman era, meri saheli, manorma sachi kahaniya padte the her nai class mein text books hindi pbi ya eng saari stories ek hi din mein pad leti thi jitne bhi natak bagaira hote vo characters bant ke padte the poori acting ke saath. novel ek baar shuru kiya to saari rat jaag ke poora karke hi soti thi


What you hate:
nafarat kisi se nahi kar paati thodi der gussa aata hai fir apne aap se kahti hoon chal chorh pare rashmi or normal ho jaati hoon
haan nafrat karti hoon aise haiwano se jo delhi kand mein involve hain


What you love:
apni family se, achche insaano se , apne doston se janwaron se , panchion se phoolon se nature se baarish ke baad aati mitti ki sondhi khushbu se chote bachon se or bhi bahut kuch hai

Movies-
aaj tak kisi movie ne mujhe bore nahi kiya haa kuch aisi hoti hain jinko dekhte dekhte ankhon se tup tup honi shuru ho jaati hai par kabhi bhi koi movie ya story boori nahi lagi pariwaar pe bani movies jyada achchi lagti hain

Music-
indian music, old songs gazalein soofi songs

About You-
main ek teacher hoon jaisa ke aap ne meri profile pe dekha hi hoga as a vice principal posted hoon ek private school mein . evening mein apna coaching center chalaati hoon .family mein mere mother in law jinhe main bahut pyaar karti hoon. mere husband, mere do bachche jin mein se ek hai loveleen, meri beti, jise aap sab jaante hi ho. mera beta himanshu ,jo abhi newzealand mein hai , mere do bhaai hain jinmein se ek hain parveen komal ,doosare hain naveen sharma jo bombay mein actor hain gazal meri bhatiji hai or abhinav mera bhatija hai in sab ko bhi aap sab jaante ho

Hobbies-
hobbies time ke saath khatam ho jaati hain kyonki samaya hi kahan mil paata hai aaj kal to sdc or fb do hi hobbies hain

Interests-
achchi poetry padna achchi books padna

Secret Desire-
raaz ko raaz rahne do raz ki baat mat poocho

One word/phrase u use regularly:
he bhagwaan

Memorable moment:
abhi tak itni life dekh li so bahut se hain aap bore ho jaaoge sunte sunte

Special Thing about You-
special? apne baare mein kya kahoon ye to mere jaanane wale hi bata sakte hain . jo bhi hoon, jaisi bhi hoon aap ke sahmane hoon

A Picture, Which Resembles You-
resemble kyon karna apni hi pic laga doongi kisi din

Favorite Shayar-
gulzaar ji,nida fazli, mirza ghalib sahir ludhianvi or kavi bhi likhna pasand karungi baba farid , kabir ji ,rahim ji ,bhaai gurdaas, shiv kumar batalvi, bhaai bir singh, soordaas, prof. mohan singh, harivansh rai bachan, mathilisharan gupat, subhadra kumaari chohan, dhani ram chatrik, hashim ,varish shah, doctor anzum ,amrita pritam bahut se hain hindi punjabi mix kar diye hain


Favorite Shayar on SDC-
vikas ji, dany ji, sameer shad zaara preet dil di naresh ji rajinderseep ji rajinder ji (ishq ek ibadat)or bhi sabhi ki achchi rachnaayein padna achcha lagta hai jo dil ko choo jaayein

Favorite Sher or lines-

Sab kuch to hai kya dhundhti rehti hain nigahen,
Kya baat hain main waqt pe ghar kyun nahin jaata!

Woh ek hi chehra to nahin saare jahan mein,
Jo door hai woh dil se utar kyun nahin jaata!


Favorite Song-
har roz mood ke mutabik change hota rahta hai
ab to 2 din se ye hi gunguna rahi hoon
zindgi or bata tera iraada kya hai

How You came to know about the website-
loveleen ne site doondhi thi fir maine join kiya

Your favorite form of reading or writing-

(for example: ghazal, nazm, sher, english poetry, song, etc)sabhi achche lagte hain sirf english poetry mein kuch khaas interest nahi sorry sanjay ji

A few lines written by you-


tanha tanha din kyon lgte
kyon lgti har raat paraai
kyon jeete hum jootha jeevan
yahi baat bas samajh naa aayi



komal kamal se paavon hai mere
jeevan path par khaar beekhere
kyon baitha wo haatimtaai
yahi baat bas samajh na aayi




koi na tera tu na kisi ka
jeevan hai ye fool do din ka
jaan samajh ke fir bhi tune
kyon maya mein jaan fasayi
yehi baat bas samajh na aayi



lahu-luhan hua man mera
chaya andhkaar ghanera
kyon na deti fir bhi kisi ko
is ki teevar cheekh sunai
yahi baat bas samajh na aayi



anjane raahon pe chlana
acha lgta hai kyon mujhko
duniya ke dastoor nibhana
kyon dass jata hai ye mujhko

sab ko samjh ke tune apna
kyon man mere chot hai khayi
yhi baat bas samajh na aayi
yhi baat bas smajh na aayi members)

Whom you had read here before registration and why-
join karne ke baad hi sab ko pada
[/COLOR]
SDC pe aapka sabse qareebi ya sabse ahcha dost kaun hai, jab waqt achcha ho to sabi kareebi hain jab waqt bura ho to shayad koi paas nahi hota

aap kin kin logon se SDC ke personally mile haiN...meri family ke siba kisiko bhi nahi

Two lines for this great place, i mean our shayri.com
mere dil mein is place ke liy kya jagah hai vo aap sab jaante hain kyonki kisi apni cheez ke liye hi hum pareshaan hote hain par aaz ke maahol mein main chup rahun to hi behtar hoga
Sabse pehle to main aapse fir se sorry maangna chahta hun, lagta hai aap abhi bhi mujhse naaraaj hain...
Aapke baare mein itna jaankar accha laga. Aur aap sapariwar yahan hain jankar khushi hui.



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote