View Single Post
Old
  (#6)
LAMHA
beautiful moment.........
LAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant future
 
LAMHA's Avatar
 
Offline
Posts: 6,429
Join Date: Jul 2007
Location: u.s.a
Rep Power: 42
Smile 6th December 2010, 08:07 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
pyaare doston aaj is forum me main haazir hua hoon ghazal ki duniyaa ke naami shaayir .. "ustad Qamar Jalalvi" ki ek nazm ke saaath nosh farmaaiiyegaa.



Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana sunata raha dum nikaltey nikaltey
magar zikr-e-shaam-e-alum jab ke aaya, chiragh-e-sehar bujh gaya jaltey jaltey

(mareez-e-mohabbat = patient of love;
zikr = reminder, alum = sadness)

irada tha tark-e-mohabbat ka laikin, fariab-e-tabassum maiN phir aa gaey hum
abhi kha ke Thokar sanbhalney na paey, ke phir Thokar sanbhaltey sanbhaltey

unhain Khat maiN likha ke dil muztarib hai, jawab onka aaya mohabbat na kartey
tumhain dil laganey ko kis nay kaha tha, behal jaey ga dil beheltey beheltey

(muztarib - disquiet)

aray koi vadaa Khilafi ki hud hai, hisab apney dil maiN laga kar to dekho
qayamat ka din aa agaya rafta rafta, mulaqaat ka din badaltey badaltey

humaiN apney dil ki to parwa nahi hai, magar dar raha hoon yeh kam_sin ki zid hai
kaheeN paa-e-nazuk maiN mooch aa na jaey, dil-e-sakht jaaN ko masaltey masaltey

(paa-e-nazuk = tender feets;
mooch = sprain)

wo mehmaa.n rahe bhi to kab tak hamaare, hui shamma gul aur na duube sitaare,
"Qamar" is qadar unko jaldi thee ghar kii, wo ghar chal diye chaandni dhalte dhalte.
shaad...

Superb creation..... thanx for sharing Shaad..... khush raho....


"LAMHA"

mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
  Send a message via Yahoo to LAMHA  
Reply With Quote