Swati ji Adaab!
Ye kismat bhi kabhi kabhi ajab khel khelti hai.. ab ye kya ki wo din jo maa baap ke liye baRi khushi ka hota hai, beti ki shaadi aur widaii.. us din par ghum ke baadal kuchh is qadar chhaye ki ye khushi uske saamne dhhal gayi... magar taqdeer ka likha kaun taal sakta hai.. Umeed hai ki Khuda un sabko himmat de..
Aapne is ghaTna ko bakhoobi bayaan kiya hai.. kabhi kabhi sahi jazbaat bayaan karne ke liye shayri ke niyam toDne paRte hain.. magar jab tak kalaam me ehsaas hai, to wo shayri hi hui na??
Yunhi likhte rahiyega..