View Single Post
Old
  (#8)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
13th December 2014, 11:21 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Ek ajnabi ban gaya yoon apna
Na pata khud se kab anjaan huyi.

Rooh tak uski khushboo chhayi hai
Badi mushkil me meri jaan huyi.

Na tha ikraar to roz jalta tha dil
Mil gaya jawaab to bhi pareshan huyi.

Shiddat se jisko maanga tha kabhi
khokar use sab pa liya to kya shaan huyi.

Surat e yaar khwaab ban k rahi ankhon me
Raat kuch is tarah se hampe mehrbaan huyi.

na mila vo sukoon bhi dil ka gaya
Dil e barbaad ki vajah bhi main nadaan huyi.

Lutf bhi khoob aur jhakhm bhi gahre
Ishq ke khel me aaj fir hairaan huyi.
Behad khoob Madhu ji har alfaaz pur asar yun to har sher umdaa raha par is ek sher par wah baar baar niklii

Lutf bhi khoob aur jhakhm bhi gahre
Ishq ke khel me aaj fir hairaan huyi


Nacheez ki daad qubool farmayee



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote