View Single Post
Re: kunal...
Old
  (#5)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Re: kunal... - 14th December 2005, 08:52 PM

Quote:
Originally posted by amaan7am
..bahaut deeno ke baad ..kisi kalam ko reply kar raha hoon..sabab?..bus ye hi ke...kalam ya to kisi aur ke the ya..unme kashsish nahin thi...aajtumhara kalam padha..aur umeed ke mutabik tumne ..achcha likha....kalam ..ka har lafz ..shadeed gham se sarobar hai ....ek ma umeedi hai jo ,,barason ki thakan aur ...udaasi ...
magar mere aziz dost ...jahan tak main is kalam ko dekhta hoon...mujhe is mein kuch ...kamian lagati hai..bayan utna mukammal nahin ,aur ..lafzon ko kuch sahara chaiye aisa laga......aur jo mayar tumne khud ne apne kalamon se tamir kiya hai ....us se kuch kam laga ...muaf karna ...shayd main galat bhi ho sakta hoon..
maagr tum acchha likhteho ..ahasasonko gahre samjhte ho ....janta hoon
Amaan sahab

Adaab aur bohat hi manmooniyat ka izhaar karta huN main aapke tasreef lane par... ye khushkismati hai meri ki mere alfaaz itne paine to rahe ... ki aapki kalam bhi shant na reh saki... khair in sab baton se alehda aapke nazariye pe chalte hai ... mujhe koi ranj nahi ki aapne aisa likha to muafi ka sawaal hota hi nahi.. par tab bhi aapko ek baat ki taraf gaur dilana chahuNga ... ki lafz ek dum usi roop maiN rakhe gaye jaise dil main aaye ... aur unhe waqt bhi na diya gaya sudharne ke lie... shayad sirf 10 min ... par tab bhi aapki baatoN se sehmat hote hue maiN aapki batoN ko ir aankhoN pe leta huN... par mujhe behad khushi hoti .. ki aap nishandehi poori tarah se karte taaki maiN agli martba un galtiyon main sudhar karta ... umeed hai aap bhi meri kisi baat ka bura nahi manenge ... aur is safar-e-alfaaz pe mera sath dete raheNge...

apna khayal rakhiyega

aapka apna

KUnal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote