View Single Post
कोई ग़म इस के जैसा ग़म नहीं है
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
कोई ग़म इस के जैसा ग़म नहीं है - 13th July 2019, 12:21 AM

मजाज़ की ज़मीन पर ... माज़रत के साथ


कोई ग़म इस के जैसा ग़म नहीं है
कोई ग़मख़्वार जब महरम नहीं है

ये बरकत जो मिली है कम नहीं है
मगर हसरत से ये बाहम नहीं है

सजे हैं ख़ार पर छींटे लहू के
नहीं है फूल पर शबनम नहीं है

नज़ाकत क्या रहेगी उंगलियों में
के ज़ुल्फ़ों में जो पेच-ओ-ख़म नहीं है

मेरे भी गोश से गुम ज़ौक़-ए-नग़मा
तेरी सरगोशी में सरगम नहीं है

खुद अपना ही तमाशाई बनूं मैं
रहा आंखों में अब वो दम नहीं है

खिज़ां में फूल काग़ज़ के खिले हैं
सजावट है मगर मौसम नहीं है

बढ़ा मत मीठी बातें कर के साक़ी
तेरी बादा में तल्ख़ी कम नहीं है

सवाल इन रिंदों से कल करना वाइज़
ख़याल इन का अभी मुबहम नहीं है

न छेड़ो बात फ़िक्र-ओ-फ़न की “ज़र्रा”
अभी महफ़िल में ये आलम नहीं है

- ज़र्रा

majaaz ki zameen par ... maazrat* ke saath
*apology


koi gam is ke jaisa gam naheeN hai
koi gamkhwaar* jab mahram** naheeN hai
*consoler **intimate

ye barkat* jo mili hai kam naheeN hai
magar hasrat se ye baaham** naheeN hai
*beneficence **together

saje haiN khaar* par chheeNte lahoo ke
naheeN hai phool par shabnam naheeN hai
*thorn

nazaakat kya rahegi ungliyoN meiN
ke zulfoN meiN jo pech-o-kham* naheeN hai
*lock and curl

mere bhi gosh* se gum zauq-e-nagma**
teri sargoshi* meiN sargam naheeN hai
*ear **taste of melody ***whispering

khud apna hi tamaashaai banooN maiN
raha aaNkhoN meiN ab wo dam naheeN hai

khizaaN* meiN phool kaaghaz ke khile haiN
sajaawat hai magar mausam naheeN hai
*autumn

bardha mat meethi baateiN kar ke saaqi
teri baada* meiN talkhi** kam naheeN hai
*wine **bitterness

sawaal in rindoN* se kal karna waaiz**
khayaal in ka abhi mub’ham*** naheeN hai
*drunkards **preacher ***ambiguous

na chherdho baat fikr-o-fan* ki “zarraa”
abhi mahfil meiN ye aalam** naheeN hai
*thought and skill **condition

⁃ zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote