View Single Post
Old
  (#77)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
18th December 2012, 11:35 AM

Quote:
Originally Posted by Taish View Post
Uffaq bhai jaan darasal jab maiN is matle ke thode deep me gaya to confuse ho gayaa... sawaal ye uthaa ki iske teen alag matlab hue aur sabhi sahi dikhe..

ek matlab ye hua jo aapne kaha, ki dil me junoon na samaa saka par samandar ki bechaini bhi ek moti meN samaa gayi.... par isse ye khayaal bhi to le sakte haiN, ki dil hi mera bekaar tha jo mere junoon ko absorb na kar saka, jabki saagar ki bechaini bhi ek moti meN samaa sakti hai....

Ek negative rhetorical question bhi aata hai doosre line se, ki kya samandar ki bechanee ko ek moti meN bandh kar sakte haiN...?? meaning ki dil ka shikayat karna to laazmi hi tha kyuNki use nahin baandh sakte haiN hum dil meN, ye to waisi hi baat ho gayi ki jaise dariya ki bechainee ko kisi moti meN baaNdh diya gaya ho....

Thodi si roshani daaleN huzoor, aur maauf kijiyega agar kuch ghalat interpretation kiya ho to.... par ye confusions hin darasal reason tha is ghazal ko sabse pehle rakhne ka....
bhai matle ke oola dekhe gilah hai shauq ko dil me;N bhii tangii-e jaa kaa yahaan bhii lafz bahut important hai........aapko example ke taur pe aik sentence deta hu ........tumko is cheez men bhi kami dikhaai detee hai......??????? kya matlab huya is sentence ka............matlab kami us cheez men nahi hai balqi tumme hai..................isee tarah ghalib sahab ne is misre men kahaa hai dil men bhi yaani dil men to bahut jagah hai,......kami dil men nahi hai.........
rahi baat aapke 3rd conclusion ki.....to ghaur farmaaiye.......oola exciamiatory sentence hai......saani assertive sentence hai......yaani ghalib sahab ne saani ko as a proof diya hai......sawaal nahi uthaaya hai koi?...............bhai thoda aur ghaur kare iska matlab wahi nikaltaa hai jo maine kahaa...........
kuch ghalat lage to bejhijhak tok de...........................
   
Reply With Quote