Quote:
Originally Posted by Qasid
Sarhad par mar mitne waalon
Main kab tumsa ban paaunga
Kab apne hindustan ko main
Apni pehchaan banaaungaa
De saktaa main balidaan nahi
Ho saktaa main qurbaan nahi
Aam aadmi khud ko kehkar
Kya apna karz chukaaungaa?
Is desh ke samvidhaan ko main
Aandha kanoon bataata hoon
Dhuvidhaa jab mujhpe aati hai
Main bas ilzaam lagaata hoon
Kab tak khokhali baaton se
Udddhaar desh ka chaahungaa
Sarhad par mar mitne waalon
Main kab tumsa ban paaunga
Tera bhi to parivaar tha na
Tu bhi to zimmedar tha na
Main kab tak is sachchaai se
Yun nazrein apni chuuraaunga
Sarhad par mar mitne waalon
Main kab tumsa ban paaunga
Is desh ke hit ki jab baat huyi
Ab phir se nayi shuruvaat huyi
Kya is baar bhi apne kadmon ko
Bas baandh ke main reh jaaunga
Ya dungaa judkar saath tera
Ab hindustani kehlaaungaa
Sarhad par mar mitne waalon
Main kab tumsa ban paaunga
Main kab tumsa ban paaunga...??
#Vandemaataram
|
Bohat hi aala tareen nazm hai qasid sahab
Kya ishaara karey ye hawaaiye
Gaur se sun zara tu sadaaiye
Khushk pattey bhi kehte bohat kuch
Shabnami phool jo keh na paaiye