View Single Post
Old
  (#17)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
21st June 2016, 12:51 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab shaad miyaaN,

picchle koi 10-15 saaloN meiN jab bhi tabiyat ko dard ki "dose" shiddat se mehsoos hui hai to sabse pehle Majaaz ke qalaam paDhta hooN, phir chacha Ghalib, Meer aur Shakeel Badayuni ki jaanib tavvazo jaati rahi hai, aapka sukhan usi may'aar par mujh gareeb ki zaroorat par har baar khara utar raha hai


Ghazal par khaadim ki mubaarikbaad tasleem farmaiiyega aur ba-ra'ye "meherbaani" mashq jaari rakhiyega, mujh jaise TooTe hue afraad ko in nagiinoN ki sakh zaroorat hai!


rab raakha
maikash
chacha Ghalib ka naam aapne kyaa liyaa ke aapkii aamad par ye sher yaad aa gayaa bade bhai.....

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apne ghar ko dekhte haiN


aur aap ne mujh gareeb ko jo izzat bakshii hai main yaqeenan uskaa rattee bhar bhii nahii hoon, magar aapki muhabbat hai jo aapne aisaa kahaa aur maana.... aise chahne waale naseebwaalon ko milte hain.... aur ham sau baar sadqe jaate hain aapki inaayaton par.....

aapke mashware ko ham sar maathe par lagaate hain aur koshish banae rakhenge k aap jaise sukhanwar ko agar ek lamhe ko bhi mutmaeen kar sake to hamaari khushnaseebi hogii....

duaaon ka talabgaar

Shaad...........


Shaad...
   
Reply With Quote