5th August 2008, 05:36 PM
Quote:
Originally Posted by gajanand_05
jo keh na sake wo fasana yaad aata hai
guzra hua dilkash jamana yaad aata hai
jab husn se ishq takraya tha kabhi
ghayal hua tha ek parwana yaad aata hai
dil se mohabbat ke tufaan uthe the
jab aankhon ka sapne sajana yaad aata hai
kasturi jaise din mehakte the
mere raaton ka gungunana yaad aata hai
aankhon ka mil kar jhuk jana nahin bhula
hothon ka thar_tharana yaad aata hai
mera usko kankhiyon se dekhna
baar baar aur uska wo muskurana yaad aata hai
raaton ko tanha yaad mein kisiki...
dhuan udata ek deewana yaad aata hai
|
bohat khoob janab muje ye post bohat bohat passand ayi hai.mere pass ilfaz nahi hai kehne ko sach main bohat acha laga.khush rahen.
EK SITAM AUR MERI JAAN ABI JAAN BAKI HAI,DIL MAIN AB TAK TERI ULFAT KA NISHAN BAKI HAI.
|