View Single Post
Old
  (#3)
Parwaazz
Aazaad Panchi
Parwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really nice
 
Parwaazz's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: May 2010
Location: SKY
Rep Power: 17
22nd July 2010, 05:43 PM

Humne eh kahi padha tha aap logon ke saath share kar rahe hai......
Aap log ko bhi achcha lagega ehi ummid......

Janaab-e-aali, main guzashta roz yeh Majid Deobandi sahab ka geet mushaira mein jo unhone pesh kiya tha aur beech beech main samain aur nizam-e-mushaira Naseem Nikhat sahiba se bol baant ka yeh bayan ko mukammal anjaam nahi de saka – waqt ki killat thi. Main aaj ise pura kar deta hoon. Yeh bhi hain ke yeh ek aur mubarak maqaam pe aa raha hai….. Ho sakta hai aap ko yeh padhne se pehle, pehli kisht par nazar deni hogi
Majid Deobandi: Aur hazraat yeh band bhi (Taliyan)
: Bahut shukriya hazraat

Jo tera saath mil jaaye dikha doon main zamaane ko
Mukammal kar ke aapne rangeen fasaane ko
Kitab-e-zeesht ka apni tujhe unwaan bana loonga

Tujhe tujhse chura loonga, tujhe tujhse chura loonga

Nassem Nikhat sahiba: Wah wah kya kehne


Majid Sahab: Kitab-e-zeesht ka apni tujhe unwaan bana loonga
Tujhe tujhse chura loonga, tujhe tujhse chura loonga
Main tere husn ko naghmat ke saanche mein dhalunga
Tujhe tujhse chura loonga, tujhe tujhse chura loonga

Majeed sahab : Hazraat ek to main yeh geet nahi padhta aur agar kahi padhta hoon to mukammal nahi padhta. Lekin aaj mahaul itna khoobsoorat bana. Maqte ka band pesh kar raha hoon main geet ko mukammal karne ko. Shayd yeh aap tak na pahuncha ho cassette ke hawaale. Main pesh karta hoon.


Dara sakti nahi duniya mujhe auron salasil se
: Adaab
Guzar jaaonga hansta khelta yaaron marahil se
Wafa ki raah mein ‘Majid’ main hasti ko mita loonga

(Taaliyan)
Nassem Nikhat sahiba: Acha hai

Majid: Wafa ki raah mein ‘Majid’ main hasti ko mita loonga
Tujhe tujhse chura loonga, tujhe tujhse chura loonga
Main tere husn ko naghmat ke saanche mein dhalunga
Tujhe tujhse chura loonga, tujhe tujhse chura loonga

Tujhe tujhse chura loonga, tujhe tujhse chura loonga
Nassem Nikhat sahiba: Ameen

Majid: Tujhe tujhse chura loonga, tujhe tujhse chura loonga
(Zordaar taliyan)
Naseem Nikhat sahiba: Majid sahab. Bhai Majid sahab. Mujhe to aapke aur inke beech bolne ki himmat nahi.
(Hangaama jaari hai….taliyan aur daad)

Naseem Nikhat sahiba: Ab aapke aur inke beech mein koi nahi aa sakta. Yahan tak ke main bhi nahi. Jo bhi chahe karen aap.
Majid: Hazraat, aaj ki nazim-e-mushaira Naseem Nikhat sahiba bahut mmod mein hai. Aur jab maine kaha “Tujhe tujhse chura loonga” to inhone kaha ameen aur main khush hua ke meri dua fauran qabool ho gayi.
(Samain ke haansi)
: Berhaal hazraat yeh to mushaira hai. Mushaira hi zindagi ja naam hai. Mushaira hi zindagi ja naam hai.
: Baaqi hamlog bahut shareef hai. Sha’ir aur shairaat ko kabhi ghalat mat samjhiyega.

Nassem Nikhat sahiba: Bhayi aap ne kaha to koi baat nahi. Ab aajkal zamaane hai media itna fast ho gaya hai. Abhi raat mein mushaira ho raha hua hain aur subah tak Dehli mein khabar chap jayegi. Agar aapki biwi ne yeh sun liya TV par ya akhbaar mein padh liya. Mujhe kuch nahi mere shauhar to yahan pe maujud hai. Aap jaane aur aapki biwi jaane. Aur aap dua karen khair ki.
(Samain ki taaliyan)
Majid: Bahut bahut shukriya Naseem sahiba. Maine apne bachon ka baat adiya tha ke aap ki khala-jaan mushaira ki nizamat karengi aur main unse yehi sab kahunga.
(Samain ki taaliyan)
Nassem Nikhat sahiba: Mujhe koi pareshani nahi hai. Aap sab gawah hai. (Hanste huye) Berhaal Khala hi to hain…..
Majid: Chaliye hazraat, baatein bhi ho gayi. Hamlog hans be liye. Ab main ghazal padhta hoon………
Aur bas yehi tha…………… Umeed aap sab ko yeh pasand aayega


Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti

Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti

   
Reply With Quote