View Single Post
Old
  (#12)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
6th April 2009, 10:51 AM

Quote:
Originally Posted by nalinmehra View Post

This roman hindi version is on special request for my friend "Buland Shayar"

woh madham sa muskurana aur woh jhooth-mooth ka gussa dikahana,
samajhna meri har baat ko aur mujhe har baat samjhana,
woh ladna tera mujhse aur phir pyar jatana,
bahut yaad aata hai "didi" tumhara mujhe "bhai" kehke bulana,

woh sham dhale karna baatein mujhse aur apni har baat mujhe batana,
sunke meri bewakufiyaan tumahara zor se hans jaana,
meri har galti pe lagana daant aur phir us daant ke baad mujhe pyar se samjhana,
koi aur na hoga tumse pyara mujhe yeh aaj maine hai jaana,

woh rakhi aur bhai-dooj pe tumahara teeka lagana,
kumkum me doobi ungli se mera matha sajana,
khilana mujhe mithai pyar se aur dil se dua de jaana,
bandh ke dhaga kalai pe meri pane pyar ko jatana,

kabhi ban jaana maa meri aur kabhi dost ban jaana,
dena nashihatein mujhe aur hidayatein dohrana,
jab chhaye gham ka andhera to khushi ki kiran banke aana,
haan tumhi se to seekha hai maine gham me muskurana

kehta hai man mera rehke door tumse mujhe ab ek lamha bhi nahi hai bitana,
ab to bas "guddu" ko apni "pari didi" ke pass hai jaana,
hai bahut se ehsaas dil me hai samaye ab pata nahi inhe kaise hai samjhana,
bas jaan lo itna "didi" bahut yaad aata hai tumhara "bhai" kehke bulana..

This is dedicated to my beloved sister.
Form a Poetic Brother
Nalin (Guddu)
Guddu ji 1st of all thanx 4 ur precious time,whch u spent on my request...

sach me maine bhai behan k pyaar k upar likhi ye pehli poem padhi hai, wakai kunaal ji ne sahi kaha, is rachna ko tareef k lafzo se nahi tola ja sakta...
Aapke ehsaas bahut he khoobsoorat hain...
Aapki poem ko padh k lagta hai k aapki Pari didi aur Aap dono he khushnaseeb ho...

Shayad aapki pari didi aapse badi hain,
meri b 2 behan hai lekin mujhse choti hain...

Kaash meri b koi badi didi hoti aapke jaisi...
To mai aapki poem chura k unko dedicate kar deta

neways Thanx again bhai...
   
Reply With Quote