View Single Post
FusooN-e-IshQ Ne Jab Deewanaa Banaya...!!!
Old
  (#342)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Exclamation FusooN-e-IshQ Ne Jab Deewanaa Banaya...!!! - 24th July 2014, 10:10 PM

Adaab hazreen-e-mehfil-e-fusoon-e-alfaaz,
Pesh-e-khidmat hai 'aik koshish' hamare ab tak ke alfaazoN per:-

fusooN-e-ishQ ne jab deewanaa banaya!
zeest ko ik bewafaa ne tamashaa banaya..

haal kia biyaaN ho, hum jese be-haal ka….!
rasan-e-daar khud unhoN ne apnaa banaya

kabhi ho jaati hai niyyat kharab, beech bazaar!
haan! bosa-e-rukhsar ne humaiN ruswaa banaya

phir chaaye khalwatoN ke baadal chaar soo!
us sung ne jab bar-mala muqadammaa banaya

zindaaN meiN zikr-e-yaar ke siwa kuch na kiya!
ussi mah-e-jabeen ke charche, jis ne paglaa banaya


sung : stone
bar-mala : manifestly
muqadammaa : case


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote