31st March 2014, 02:18 PM
Arvind ji ...
Aapko kareeb 10 saal pehle aap ke dil ne kisi se kuch kaha jo aaj humne
para aur jaana ki aap tab bhi dil ke hathon majboor the aur haal e dil sunane
mein sher the ..
Mana ab vo sher bara ho gaya hai per uski kalam mein thora dard bhar gaya
hai .. Us ka dil tou ab bhi dharakta hai , per her dharkan mein ek dard ab basta
hai ..
Aapke ander ke kalakar ko.mera salaam ..
Bus yun hi pyar ki shamma jalhgaaye rakhna ,
Aur humein bhi apne saath bazm me sajai rakhna.
Sanjay Sehgal
khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
Last edited by Hamdam; 31st March 2014 at 02:21 PM..
|