15th November 2004, 11:50 PM
Chain jiya ka le gayin teri akhiyaan
Mujhe mujhse chura le gayin teri akhiyaan
Khanjar ki si dhaar teri akhiyaan
Paar jiyaa ke gayin teri akhiyaan
Jigar pe teer chala ke teri akhiyaan
Madhosh mujhe kar gayin teri akhiyaan
Mitaa ke barson kee doori teri akhiyaan
Aaj tayye kar faasle gayin teri akhiyaan
Bhula ke 'Khuda' ka naam teri akhiyaan
'Kaafir' 'Paras' ko bana gayin teri akhiyaan
Kitni saral aur kitni sundar ankhiyon ka bayan kiya hai aapne paras ji mujhe reply mein itne komal aur aziz bhav dene ka shukriyaa...
aage bhi yunhi saath dete rahiyeGaa
-aapka apnaa
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|