View Single Post
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
21st July 2018, 04:38 PM

Quote:
Originally Posted by shakir ali 01 View Post
Barso ki is khalish ko nibhaya nahi jata
zakham Ho nasur marham lagaya nahi jata

Kasak to hajaro dilo me h mohabbat ki
Har dil me chirage mohabbat jalaya nahi jata

Mehak uthe sanse bhi jis ki khushbu se
us phul ko gulshan me lagya nahi jata

Aangan to khilta h tere hi tassvur se
bazaar ke saman se ghar sajaya nahi jata

rakibo k Dar to be shumar h shehar me
dosto se bhi to daman bachaya nahi jata

manzile ho nazar me safar ki mashaktte kya
tanha reh kar bhi to manzil ko paya nahi jata

Humsafar na ho to Koi baat nahi
dil bhi to sab kisi se milaya nahi jata

Mohabbat to khud se jayada ki SHAKIR ne
kambakhat dil bhi to cheer k dikhaya nahi jata


Shakir ji....bahut hi umda likha hai aapne, sabhi ashiyaar acche lge...par yeh aik sher dil ke khaas kareeb rha:

"Aangan to khilta h tere hi tassvur se
bazaar ke saman se ghar sajaya nahi jata"




~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote