View Single Post
Old
  (#1271)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
22nd September 2014, 09:59 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
doston, aadaab

fusoon-e-alfaaz ka silsila aage bardhaate huwe, is baar ka lafz hai MAHV

“mahv” means being deeply absorbed or engrossed in something.

mere hisaab se, lafz "MAHV" mein "AH" ka pronounciation waise hi hai jaise lafz "SHAHR" (city) ya "ZAHR" (poison) mein "AH" ka pronounciation hai. any other opinion or way of explaining is most welcome.

to har baar ki tarah hum lafz MAHV par ghaur karenge apne qalaam mein us ka istemaal kar ke, aur us par guftagoo kar ke.

shayari ki duniya mein “mahv” hone ke liye cheezon ki kami naheen hai … misaal ke taur pe mahv-e-gham, mahv-e-nazaara, mahv-e-yaad, mahv-e-chaman, mahv-e-ishq, mahv-e-yaas, mahv-e-khwaab, mahv-e-hairat, mahv-e-ada wagairah wagairah wagairah. shayar log to jahaan dekho mahv ho jaate hain, mahv hone ke liye ek cheez dhoondho to hazaaron mil jayengeen

on a serious note, lafz “mahv” is a very expressive and evocative word to describe the state of being completely absorbed / engrossed / lost / fascinated in something.

chaliye dekhte haiN lafz “mahv” par ustaad shora ke kuchh khoobsurat aashaar


mahv itna bhi n ho ishq-e-butaaN meiN ai “zauq”
chaahiye bande ko har waqt Khuda yaad rahe
Zauq


ajab n tha ke maiN begaana-e-alam ho kar
tere jamaal ki raanaaiyoN meiN kho rehta
tera gudaaz badan teri neem-baaz aaNkheiN
inhee haseen fasaanoN meiN mahv ho rehta
Sahir Ludhianvi
(mashhoor nazm “kabhi kabhi mere dil meiN khayaal aata hai” se)


hum aise mahv-e-nazaara n the ke hosh aata
magar tumhaare taghaaful ne hoshiyaar kiya
Daagh Dehlevi


kya huwe wo din ki mahv-e-aarzoo the husn-o-ishq
rabt tha donoN meiN go rabt-e-shanaasaayee n tha
Hasrat Mohani


kahaaN ke naale kahaaN ki aaheiN jamee haiN un ki taraf nigaaheiN
kuchh is tarah mahv-e-yaad hooN maiN ke fursat-e-yak-nafas naheeN hai
Shakeel Badaayuni


aaNkh jo kuchh dekhtee hai lab pe aa sakta naheeN
mahv-e-hairat hooN ki duniya kya se kya ho jaayegee
Iqbal


az azal taa ba abad mahv-e-tamaasha hona
maiN wo hooN jis ko n marna hai n paida hona
Asghar Gondvi


jo kuchh hai mahv-e-shokhi-e-abroo-e-yaar hai
aaNkhoN ko rakh ke taak pe dekha kare koyee
Ghalib


tamaasha ke ai mahv-e-aaeena-daaree
tujhe kis tamanna se hum dekhte haiN
Ghalib


“mahv” ki taqti mere hisaab se hai 21, any other opinion is welcome.

lafz “mahv” par mashq-e-sukhan ka silsila hum jaaree rakkhenge agle 7 dinon tak yaani 28th Sept raat 10:00 PM India time ya 4:30 PM GMT.

to chaliye, intezaar kis baat ka hai. apni shayari ke zariye lafz “mahv” mein mahv ho jaate hain.


duaon ke saath
zarraa
Zarraasaab,

bahot hi umda lafz laaye haiN aap iis baar bhii....

mahv kaa dusra maanii 'erase' bhii hota hai......

mahv dil se sab shikaayat ho gayii
saamne jab unkii suurat ho gayii
-- Ahsan Marahravi

aayaa idhar khayaal udhar mahv ho gayaa
kehne ko tha na jaane abhii kya maiN apne app se
-- Naushad Ali saab




ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote