View Single Post
bahut khub
Old
  (#4)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
bahut khub - 6th June 2015, 10:51 PM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai

ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai

Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai

Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai

Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai

Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai

Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai




1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon

5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice

7.Sailaab: Flood
Sagar ji

Behatarin eskq ke darmiyan aapne pesh kiye hain.. laga ki sach mein kuchh tufaan aaya hai.. pahale pyar ka pahala paigaam aaya hai.. YuN dilo ko roshan kerte rahiye aur esq me ji bher gote lagaiye..

Shubhkamnao sahit,
Akant...


*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote