View Single Post
naya lafz ...
Old
  (#569)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
naya lafz ... - 13th August 2014, 11:35 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
aadeil bhai, shaad bhai - shukriya ki aap ki guftagoo se mujhe aur pardhne waalon ko ek aham lafz par ghaur karne ka mauka mil raha hai - (bhale hi ye is baar ka lafz naheen hai ). saath hi shayari ke baareek nukton par hum soch rahe hain jis se mashq-e-sukhan bhi ho rahi hai. aap doston ke zariye is activity ka sahi maqsad haasil ho raha hai - aur lagta hai ki mujhe agli baar ka lafz bhi mil gaya hai - QAFAS
to dostoN, waayde ke mutaabiq is baar ka lafz hai "qafas" .... which literally means "piNjra" ya "cage". it is most often used figuratively to convey bondage, imprisonment etc. is ke saath jo symbols use hote hain un mein se kuchh hain panchhi, parinda, saiyyaad, gulshan, chaman, saba, aashiyaan, bahaar, naseem, kiran, faza, parvaaz wagairah wagairah ... ye sirf example ke taur par hi keh raha hoon ... aakhir ye to shayar ka ehsaas aur takhayyull hai ki wo is lafz ka kaise istemaal kare ... there are no boundaries to perception and Imagination

hum ne pichhlee dafa is lafz par discussion kiya tha, jis mein ye opinion aaya tha ki lafz ke figurative meaning ke istemaal ke liye agar koyee "bridge" ya "correlation" establish kiya jaaye us ke literal meaning se, to sher ke maayne pooree tarah se khul jaate hain aur sher ka lutf pooree tarah haasil ho sakta hai. please see the relevant posts in the previous discussion for details. also please note how this method has been used in the below quoted aashaar of the ustaad shora.

ye lafz shayari mein kaafi zyaada istemaal mein aata hai, aur is par nihayati khoobsurat aur pursoz aashaar kahe gaye hain.

dekhte hain ustaad shora ke kuchh khoobsurat aashaar lafz-e-qafas par ...

qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte n dar humdum
giree hai jis pe kal bijlee wo mera aashiyaaN kyooN ho
- Ghalib

ne teer kamaaN meiN haiN n saiyyaad kamee meiN
goshe meiN qafas ke mujhe aaraam bahaut hai
- Ghalib

qafas udaas hai yaaroN saba se kuchh to kaho
kaheeN to bahr-e-Khuda aaj zikr-e-yaar chale
- Faiz

hum ne jo tarz-e-fughaaN kii hai qafas meiN eejaad
"faiz" gulshan meiN wahi tarz-e-bayaaN thahri thee
- Faiz

phir qafas meiN shor uttha qaidiyoN ka aur saiyyaad
dekhna urha dega phir khabar rihaayee ki
- Faraaz

kuchh qafas ki teeliyoN se chhan raha hai noor sa
kuchh faza kuchh hasrat-e-parvaaz ki baateiN karo
- Firaaq Gorakhpuri

chhurha de qaid se ai barq hum aseeroN ko
laga de aag qafas ko bhi aashiyaaN ki tarah
- Daagh Dehelvi

jhaarhiyaaN jin ke qafas meiN qaid hai aah-e-khizaaN
sabz kar degee unheiN baad-e-bahaar-e-jaavidaaN
- Iqbaal ki nazm se

chhup raha hai jo qafas-e-tan meiN har taair-e-dil
aaNkh khole huwe shaaheen-e-nazar kis ka hai
- Ameer Meenai

dekhiye kya gul khilaati hai bahaar ab ke baras
khwaab meiN dekha hai "faani" ne qafas ka dar khula
- Faani Badaayuni

zabt karta hooN to ghut'ta hai qafas meiN mera dam
aah karta hooN to saiyyad khafa hota hai
- Qamar Jalalvi

jhoNke jo lag rahe haiN naseem-e-bahaar ke
jumbish meiN hai qafas bhi aseer-e-chaman ke saath
- Majrooh Sultaanpuri

"qafas" ki taqti hai 12 mere hisaab se, any other opinion is welcome.

chaliye, ab is lafz par ghaur karne ke silsile ka aaghaaz karte hain. lafz "qafas" par apne sabhi aashaaroN,sawaaloN, mashwaroN, khayaaloN ke parindoN ko zehn ke qafas se riha kar dijiye aur un ko is mehfil ke gulshan mein chehchahaane dijiye aur is bazm ke aasmaan par urhne dijiye . agar aap ne is lafz par pichhlee posts par koyee aashaar kahe hon, to unhein repeat karne ki pooree chhoot hai aap ko agar aap chaahein to...naye aashaar to most welcome hain hi.

is lafz par ghaur karne ka silsila hum agle 6 dinon tak, yaani 19th Aug, raat 9:00 PM India time ya 3:30 PM GMT.

duaon ke saath
zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 13th August 2014 at 11:39 PM..
   
Reply With Quote