View Single Post
naya lafz ...
Old
  (#456)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
naya lafz ... - 7th August 2014, 01:11 AM


doston..is baar ka lafz hai ..... AZAAB

"azaab" has versatile but similar meanings like "a severe punishment", "torture", "torment", "a painful or traumatic event" etc.

ye lafz barha hi intense hai, aur shayari mein bahaut hi asardaar tareeke se istemaal ho sakta hai.

lafz "azaab" ki taqti, mere opinion mein, hai 121. any other opinion is welcome.

lafz "azaab" par ustaad shora ke kuchh aashaar dekhte hain ...

aaye kuchh abr* kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye
(abr = cloud)
-Faiz

kahaaN sawaab* kahaaN kya azaab hota hai
mohabbatoN meiN kab itna hisaab hota hai
(sawaab = reward)
-Waseem Barelvi

ye kya azaab hai sab apne aap meiN gum haiN
zabaaN mili hai magar hum-zabaaN naheeN milta
-Nida Fazli

azaab dega to phir mujh ko khwaab bhi dega
maiN mutmaeeN* hooN mera dil teree panaah meiN hai
(mutmaeeN =content, satisfied)
-Parveen Shakir

hujoom-e-dard mila zindagi azaab huwee
dil-o-nigaah ki saazish thi kaamyaab huwee
-Shahryaar

har gharhi inqalaab meiN guzree
zindagi kis azaab meiN guzree
-Fani Badayuni

milti hai khoo-e-yaar* se naar* iltihaab* meiN
kaafir hooN gar n miltee ho raahat azaab meiN
(khoo-e-yaar = habit of beloved, naar = fire, iltihaab = hell)
-Ghalib

ishq hai aashiqoN ke jalne ko
ye jahannum meiN hai azaab kahaaN
-Mir Taqi Mir

lafz "azaab" par ghaur karne ka silsila hum agle 6 dinoN tak chalaayeNge ... Aug 12th raat 9:00 PM India time ya 3:30 PM GMT tak ...

to chaliye lafz-e-azaab par sher kehne ki koshishon ke azaab se guzar ke shayari ka sawaab haasil karte hain

duaoN ke saath
Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 7th August 2014 at 01:15 AM..
   
Reply With Quote