View Single Post
Old
  (#7)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
17th May 2016, 08:41 AM

ek haseen dil aziz ghazal ki taraf bazm ki madd-e-nazar chahta hoon...

Aap ki aankh se gehra hai meri rooh ka zakhm
aap kya soch sakenge meri tanhai ko

Main toh dum tod raha tha magar afsurda-hayaat
khud chali aayi meri housla-afzaai ko

Lazzat-e ghum ke siwa teri nighaahon ke baghair
kaun samjha hai mere zakhm ki gehraai ko

Main badhaunga teri shohrat-e-KHush-buu ka nikhaar
tu dua de mere afsaana-e-rusvaa.ii ko

Woh toh yun kahiye ki ek qaus-e-quzah phail gayi
warna main bhool gaya tha teri a.ng.Daa.ii ko

afsurda-hayaat = dejected life
Lazzat-e ghum = pleasure of pain
afsaana-e-rusvaa.ii = story of humiliation
qaus-e-quzah = rainbow



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote