25th May 2006, 03:31 PM
waah..kya likh diya hai aapne aaj to,gazab,har shabd ,har line...mindblowing
kareiN bhi gilaa ab to kis se kareiN
humhiiN ne to saaNp aasteenoN meiN paale
amazing...
badi aarzoo hai ke mehNdii lagaa kar
vo aa ke mere kafn pe khaak daale
bahot hi gehra likha hai aapne yeh to
chali aana saara jahaaN aazmaa kar
maiN baiThaa huuN apni wafa ko saNbhaale
aur is se zyada sacchi aur gehri baat nahin ho sakti hogi kaheen pyar karnewalon ke liye shayad...
"sanam" chahe zindagi se bas itna
aik mutthi main kaid kar loon,
yeh aasman hai jitna!"
|