View Single Post
Re: terii yaad ki sham'aa se haiN ujaale......Ghazal
Old
  (#9)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
Re: terii yaad ki sham'aa se haiN ujaale......Ghazal - 25th May 2006, 10:49 PM


miley na jo mehnat se do bhi nivaale
roya maiN dekh apne haathoN ke chhalley

kareiN bhi gilaa ab to kis se kareiN
humhiiN ne to saaNp aasteenoN meiN paale

Waaah...


Gham-e-ziNdagi ke aNdheroN meiN jaanaaN
terii yaad ki sham'aa se haiN ujaale

kuch aur hi baat thi unki saaqi
vo dete the bhar ke jo aaNkhoN se pyaale

beautifulll....


badi aarzoo hai ke mehNdii lagaa kar
vo aa ke mere kafn pe khaak daale

chali aana saara jahaaN aazmaa kar
maiN baiThaa huuN apni wafa ko saNbhaale

Waaaahhh... bahut khoob bhai...


"maikash" tere baad dhooNdeNge tujhko
"sharaabi,sharaabi" tujhe kehne vaale

bahut khoob....

Maikash bhai,

Humesha ki tarah bahut hi khoobsurat likha hai aapne... Is tarah ki ghazalein kam padhne ko milti ahin... aapne ise khooburati se bayaan kiya hai... Meri daad kubool lijiygea... likhte rhaiye yun hi... apna khayal rakhiyega....


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote