View Single Post
hi
Old
  (#95)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
hi - 4th September 2007, 07:24 PM

Quote:
Originally Posted by LAMHA View Post
hey manu,
aap ne to kuch zyada hi tarif kar di hamari................i dont deserve this.........anyways thanx.............aap ka sher bahut acha laga..........is ka jawaab haazir hai.............
gaur farmaye.........



chehre pe ashko ki lakeer si ban gayi ,
jo na chaha tha wo taqdeer si ban gayi,
hum ne to yuhi feri thi ret par ungliya,
gaur se dekha to unki tasveer si ban gayi.................
lamhaa ji aap ke kyaa kehne sone par suhaaga hai aap ka sher magar hmaaraa bhi reply padh li jee ye chun chun ke labzo ko piroyaa hai aap ke liye in Jazbon ki maala men, khud apni hee likhi ek kaavish paish karta hoon,



Teri tasweer meri Nigaaho mai hardam kyun haiN
Aaine to tutate rahte haiN tumhe gham kyuN haiN

Wohi "lamha" wohi manjar wohi yaado ke hujjuM*
Aur kya chahiye? Maayus mere sanam kyuN haiN

Mere na hone se shayad raahat haiN zamaane ko
Shor ye kaisa hangaama-e-maatam kyuN haiN

Har mulaaquaat pe mujhko ye hota hai gumaaN
Faasley furkat ke ye itney beraham kyuN haiN

Dil ko sadalakht* kiya sine ko bhi sad chaak kiya
Ab bhi dilresh* mai dhadkati tu paiham* kyuN haiN

Maine sincha haiN apne ashqo se dil ke gulshan ko
Baag-e-hasti* mai khizaaoN* ka mausam kyuN haiN


Hujjum= crowd
sadalakht= dil ke sau tukre karna/ dil ko cheerna
Dilresh=zakhmi dil
Paiham=continues,constant
Baag-e-hasti= garden of life
KhizaaN=patzad


Ashaa kartaa hoon aap ko pasan aayi hogi
Khudaa kher kare
regards
manu

Last edited by acharya_mj; 4th September 2007 at 07:28 PM..
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote