24th March 2014, 10:21 AM
toote hue khwabon se jindagi bana leta hoon,
main kaanch ke tukdon se aaina bana leta hoon,
vo itrate hain apni haath kee lakeeron pe,
main mehnat se apni taqdeer bana leta hoon,
aasmaan mein chaand ko takta nahin main,
aage haath bada ke apna bana leta hoon,
milta nahin jab mandiron masjid mein vo.
main mohabbat ko apna khuda bana leta hoon,
Arvindji,
Kya khubsurat tehreer hai, bhai....................
aalatareen soch pe daad..................
Adil.
ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता
|