View Single Post
Old
  (#12)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
10th June 2015, 11:39 PM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
KhushbuoN meiN lipta hua shabaab aaya hai
Aaj mere pehle khat ka jawaab aaya hai

ShokhiyaN haiN, rangat aur mehak hai fiza meiN
Chhoo kar unn ke Dahan ko gulaab aaya hai

Roshan haiN aaj sarbasar, dil ke dar-o-baam
Falak se utar kar, mahtaab aaya hai

Toot kar hai chaha unn ko dil ne baar baar
Pyaar unn ke waaste be-hisaab aaya hai

Unn ki ek jhalak dekhi aankhoN ne iss qadar
ToofaN uThay haiN dil meiN, inqalaab aaya hai

Bhatakte rahe hum yuNhi sehra meiN ab talak
Bil-aakhir qareena-e-intekhaab aaya hai

Tanhaayi meiN Jiya hai Sagar ab tak iss tarha
Subh-o-shaam ashkoN ka sailaab aaya hai




1. Dahan= mouth
2. Sarbasar= completely/from one end to the other
3.Dar-o-baam= doors & ceiling/terrace
4. Mahtaab= moon

5.Qareena= Tareeqa/dhang
6.intekhaab: selection/choice

7.Sailaab: Flood
Sahab - Maaufi chahunga ki is ala darje ke kalaam par itni dino baad nazar padi, kahir sukoon is baat ka hain ki main mehroom nahi raha aur janaab aapki kalam to din ba din zor pakad rahi hai...

yunhi likhte rahiYeGaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote