View Single Post
Old
  (#17)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
20th April 2009, 01:38 PM



1) Professional ya emotional ... kya sahi hai aaj ke duniya main tumhare hisaab se .. aur tum khud ko kahan paati ho inme...

Aaj ke zamaane me to dono hi behad zaroori hain.... dono ka use apni apni jagah kiya jata hai. Agar aap professional life me emotions le aaoge to u'll get hurt and face faliure of some sort or other at some time. Dono hi aspects sahi jagah use hone bahut zaroori hain. I'm more emotional, but when I'm at work, I tend to be as professional as I can, still I find my emotional side to overshadow my professional one.


2) Mushkil daur sabki zindgi maiN aata hai .. tumhari mohabbat ka mushkil daur lag bhag mujhe maloom hai .. iske alaawa kab aisa laga tumhe ki ye waqt kab talega ... gaur farmaana maiN ek ya do din ki baat nahi kar raha maiN ek daur ki baat kar raha huN ...


Meri zindagi me sabse mushkil daur humesha vahi hota hai jab main US me hoti hun, aur mere hubby India me. Woh time sabse mushkil hota hai nikaalna, aur bas yehi sochti hun ki yeh sab kab theek hoga... aise hi mushkil daur se phir se rub-a-roo hone vaali hun main ek baar phir.


3) Shayri ki mehfil mai tumhe aate arsa ho gaya .. kya lagta hai tumhe, shayri aur shayroN ke baare maiN .. ki kya wakai yahaN sab dil ki likhte hai ya alfaaz bana ke bas yuN hi... aur shayri wakai kitna sahi tareeka hai khud ko byakt karne ka...


Shayri me woh saari baatein bhi aasaani se keh di jaati hain, jinhe vaise kehna mushkil hota hai, ikraar, izhaar, dard... aisi dher si bhaavnaao ko shayri me sanjo ke likhna phir bhi aasaan hota hai. Main jab bhi likhti hun, dil se likhti hun, taal mel ki kami bhi ho jati hai kabhi, jo ki phir likhne ke baad door karne ki koshish karti hun. Kisi bhi aur shayar ya shayara ke liye main koi comment nahi kar sakti, kyunki khud ko us mukaam pe nahi samjhti hun, jahan apne ko chhod kisi aur ke baare me kuch keh sakun. Dil se jo bhi likhte hain woh zaroor ek ajeeb si khushi mehsoos karte honge likhne ke baad.


4) Koi bhi rishta aakhir kaar kitna maiyne rakhta hai tumhare liye ... kya rishtoN maiN kisi tarah ki umeed ka hona zaroori hai..

Relationships blossom when u don't expect anything in return. Umeed lagaane se dukh zyada milta hai. Rishte to aapki zindagi ka woh hissa hai, jiske bina zindagi me kuch bhi nahi reh jata. Rishton ki naazukta aur ehmiyat dono se main achi tarah vaakif hun.


ab personal sawaal ...

5) maiN mama kab ban raha huN ... hahahah


Bas jaldi hi




"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote