View Single Post
Old
  (#19)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
20th April 2009, 06:16 PM



1>> aap kaun se viShay par liKhanaa zeyaadaah pasaNd karte hai.n? dard ya iShQ ?

Topic soch ke kabhi nahi likhti.. jo bhi bhavnaayein mann me chal rahi hoti hain, bas unhe kaagaz pe utaarne ki koshish karti hun, aur kuch nahi. Topic soch ke kabhi nahi likha.. actually likhne ke baad hi pata chalta hai


2>> Shaa'iiree Parivaar se juRne waale naye sadasyoN se aap kyaa kehnaa chaaheNge

Naye sadasyon se bas itna hi kehna chaahungi, ki apne dil ki sunke likhein. sache mann se likha humesha hi badiya hota hai, aur site ki rules and regulations properly follow karein. Sabse pyar se deal karein, aur jhagda na karein.


3>> bachpan ke dinoN ki ko'ii aisii zid jo kaise bhee kar ke aapne manwaa'ii ho jabarjasti se wo jaannaa chaahuNgaa


2nd class ki baat hai, main mom ke saath market gayi aur mujhe vahan ek pink color ki frock behad pasand aa gayi. Lekin mom ne woh dilvaane se mana kar diya. Agle din mom aur dad dono ke saath us shop pe gayi, lekin mom ne phir se mana kar diya.. maiine rona shuru kar diya ki mujhe to vahi frock chaahiye.. mom said itni achi nahi hai, kahin aur se achi vaali le lena... lekin I was stuck with that one only. mujhe to vahi chaahiye thi, phir kya... rote rote shop ki zameen pe let ke zor zor se chillana bhi shuru kar diya, bichare mom n dad felt so humiliated ki mujhe zabardasti woh frock dilvaayi aur fatafat se us store se baahar nikaala


4>> ziNdagee meiN KhuShii aur Ghum kaa aanaa-jaanaa lagaa rehtaa he. aapka kyaa kaheNge

This is absolutely true. Kabhi khushi to kabhi gam, it's a part and parcel of life. Koi bhi phase permanent nahi hota. Jaise har raat ke baad savera hota hai, aur savere ke baad raat, same ways khushi aur gam bhi aise hi aankh micholi khelte rehte hain.


5>> bachpan meiN aapka sab se fav. subject kaunsaa thaa aur kyuuN ?
aur kauNsa subject pasaNd nahiiN thaa ? kyuuN ?


Sabse favorite to English aur Painting hota tha, dono ache se samjh me aa jate the hehehhee Aur Hindi se nafrat thi, kyunki meri silly mistakes ho jati thi, maatraayein and all that, to teacher mistakes to 5 times correct karke likhne ko kehti jo acha na lagta


6>> chunaav aa rhe he, hamaare deSh ke netaa'O ke baare meiN aapki kyaa raa'ey hai

Desh ke neta bhi hummne hi chunne hain, ache hain bure hain, jaise bhi han humara hi chayan hai, bas is baar apna vote soch samajh kar de, taaki phir se yeh pachtaava na ho, ki yeh neta log kisi kaam ke nahi.


aaKhiri sawaal baRaa aasaan he aapke liye tou

7>> maiNe sunaa he aap Gujarati baRii achchhi bol lete hai aur samjh bhee lete hai to aik "Gujarati sentance" ho jaaye !! aapki aur se


Haan yeh to bahut hi aasaan sawaal poocha tumne.. to lo suno meri gujju line ::::::::::::::::::
KEM CHO DHAVAL?? MAJAA MAA

hehehhehehe dekha ab tumhe pata lag hi gaya hoga ki meri gujju kitni top ki hai

[/QUOTE]



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote