View Single Post
Old
  (#72)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
18th December 2012, 10:57 AM

taish sahab chaliye aapki di huyi ghazal se hi aagaaz karte hai........aik saath poori ghazal ki explaination karna aur use type karna thoda boring hai................abhi 2 ashaar ki explaination kar rahaa hu................baaqi ghazal ki thoda break lekar karoonga

gilah hai shauq ko dil me;N bhii tangii-e jaa kaa
guhar me;N ma;hv hu))aa i.z:tiraab daryaa kaa

dil bahut badaa hota hai usme poori duniya ki cheez aa sakti hai lekin mera junoon e shauq usse bhi badaa ho gayaa hai ki wo dil men jagah ki kami ki shikaayat kar rahaa hai jabki itnaa badaa dariya bhi ka iztiraab [ baichaini ] bhi chhote se moti ki shakl men dhalkar shaant ho jaata hai

yih jaantaa huu;N kih tuu aur paasu;x-e maktuub
magar sitam-zadah huu;N ;zauq-e ;xaamah-farsaa kaa

is sher men explaination karne ke liye kuch nahi hai...........sirf mushkil alfaaz ke maayane likh rahaa hu
paasukh e maktub .........lreply to letter
sitamzadaa .........mara huya
zauq e khaamfarsaa.......... pleasure in habbit of writing


;hinaa-e paa-e ;xizaa;N hai bahaar agar hai yihii
davaam kulfat-e ;xaa:tir hai ((aish dunyaa kaa

duniya ke sabhi sukh aakhirkaar khatm ho jaate hai aur milta hai to sirf kulfat e khaatir [restlessness of heart] ........bahaar ki comparison duinya ke sukh se ki gayi hai ,jo ki khizaa [ restless heart] ke pair ki mehandi hai ..mehandi jaldi hi sookh jaayegi aur sirf khizaa ke pair rah jaayenge.......yaani dukh aur taqlaaf aa jaayenge

.................................................. .........continued
   
Reply With Quote