View Single Post
Old
  (#6)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
Love 1st November 2008, 07:43 PM

unhone mujhse kaha ke tune bohut hi mushkil faisla liya hai lekin jab tere hath se zindagi chali jayegi tab tujhe pachtava hoga maine kaha ke maine jo kiya soch ke kiya unhone kaha ke meri shaadi ho gayi thi jab 17 saal ki thi aur teri mummy 16 saal ki thi meri shaadi ke 5 saal baad mere pati ne mujhe talaak de diya usne dusri shaadi kar li tu soch sakti hai mujhe kitni taklif hui hogi uske baad teri nummy ki shaadi hui aur me mumbai aa gayi waha ek ladki se mulakat huyi jo bar dancer thi tab mujhe nahi pata tha yeh sab kya hota hai tab sirf paise kamana tha kyuki ghar me bohut pareshani thi mujhe woh ladki hotel le gayi kuch din tak toh aise laga jaise ab zindagi me kuch nahi hai kyu na me apni jaan de du lekin fir ghar ka khyal aata lekin waq ke saath sab jakhm bhar jate waqt ne mujhe bhi jina sikha diya apne liye naa sahi tum logo ke liye usi bich mujhe ek aadmi mila jo mujhse pyar karta tha woh mera ek customer tha usne meri har jarurat ko pura kiya paise se lekar har cheez diya tab mujhe pata chala ke tu paida hui hai maine tere liye har ek cheez bheja jiski tujhe jarurat ho sab kuch thik jaa raha tha lekin fir zindagi ko meri khushi achi nahi lagi usne use chhin liya jo mujhse pyar karta tha fir se mujhe raste pe laa khada kiya zindagi ne fir pata chala tere papa jo calcutta me hai usne bhi teri mummy ko chhod diya maine unse kaha mere papa toh yaha hai ( me tab nahi janti thi ke jisko me papa samjhti hu woh mere mummy ke dusre husband hai) unhone kaha ke nahi woh tere papa nahi hai woh teri mummy ke customer hai unhone teri mummy se shaadi kiya aur unko dekhte hai ab tak aur ghar me chalati hu maine kaha kyu woh nahi dekhteunhone jawab diya ke customer kbhi kisika ghar nahi dekhta jisse usko matlab ho use dekhta hai meri umar ab 35 saal hai aur teri 20 saal kya tu apni zindagi meri jaise barbad karna chati hai soch kya yeh sahi hai meri khwahish thi ke mujhe ek bacha ho leki ghar walo ke liye maine woh sapna bhi tod diya kyuki agar me me bacha paida karugi toh ghar kaun dekhega agar tu bhi is line me aayegi toh tujhe bhi apni zindagi aisi barbad karni padegi meri aakho se aaasu rukne ka naam nahi le rahre rhe soch rahi thi ke kay karu ek taraf zindagi ek taraf pyar aur ek taraf ghar wale unhone mujhe kaha agar kbhi bhi lage tujhe kuch mujhe kehna hai toh mere paas aa jana zindagu ne bohut se khel khele hai mere saath kya tu bhi apni zindagi ko khelne degi .......................

to be cont...............
   
Reply With Quote